Hijab-e-shab mein tab o taaab-e-khwab rakhta hai Duroon-e-khwab hazaar aftaab rakhta hai Kabhi khizaan mein khilaata hai rang rang ke phool Kabhi bahaar ko be rang o aab rakhta hai Basharaton ki zameen jab aag ugalti hai Is aag hi mein gul inquilaab rakhta hai Kabhi baraste hue baadlon mein pyaas hi pyaas Kabhi saraab mein taseer aab rakhta hai Sawal uthane ki tawfeeq bhi ussi ki ata Sawal hi mein jo saare jawaab rakhta hai Kabhi fughan ki tarah raeghan asasa harf Kabhi dua ki tarah mustajab rakhta hai