Jannat se kahin barh ke haseen un ka nagar hai Phir paish-e-nazar mere Madine ka safar hai Har simt nazar aata hai yahan toor ka jalwa Har zulf-e-shab-e-taar bhi ruksaar-e-qamar hai Baitha hoon main rozay ke qareen thaam ke jaali Rehmat ki ghata chhayi hai ab waqt sehar hai Sab aa ke dar-e-paak pe khamosh khade hain Hum se bhi kahin barh ke unhein dil ki khabar hai Mehshar mein koi baat na ban paaye gi apni Thorhi si bhi ulfat ki kami dil mein agar hai Sadr se bhi aage jo chala aaj hai milne Jibril bhi hairan hai ke yeh kaun bashar hai Main shukr ada kaise karoon aap ka taib Mujh se bhi gunahgaar par rahmat ki nazar hai