Khushbu se raqm karta hai gul tera qaseeda Tabinda sitare sar-e dehleez khemeeda Khama banein ashjaar ya abhaar siyaahi Marqoom nah ho paayenge ausaaf-e hameeda Har shakhs kahan faiz teri naat ka paaye Har shakhs kahan ishq mein aah-o-aye raameeda Hai ilm zaroori wale yeh zehn mein rakhna Parh likh ke koi hota nahi arsh rasida Yani main Madina ki fazaaon mein khara hoon! Hairan hain afkaar to numanak hai deeda Gul aap ki khaatir chunay ba arq-e nadamat Shabnam se sharaboor hain gul hai chuneeda Sad chaak hai ghaflet se magar teri inayat Bhar sakti hai har aasi ka daaman-e dareeda Aqa teri rahmat ke samandar pe nazar hai Aamal mein susti hai magar pukhta aqeeda Daaman mera pur kar de tere abr-e karam se Gulshan mein khilen phool sar-e shaakh-e bareeda Yeh keh ke qalam qais mera titli ne chuma Khush bakht ho likhte ho Muhammad ka qaseeda