Ay aalm-e-najoom o jawaahar ke kirdaar! Ay kaar-saaz-e-dahr o khuda-wand-e-bahr o bar Idraak o aagahi ke liye manzil-e-muraad Behr-e musaafiran-e junoon, haasil-e safar! Yeh barg o baar o shaakh o shajar, teri aayatein Teri nishaaniyan hain yeh gulzaar o dasht o dar Yeh chaandni hai tere tabassum ka aaeena Partaw tere jalaal ka be-saaya dopahar! Maujein samundaron ki, teri reh-guzar ke mor Sehra ke peech o kham, tera shiraza hunar! Ujre dilon mein teri khumoshi ke zaawiye Taabinda tere harf, sar-e loh-e chashm tar Mauj-e saba, kharam tere lutf-e aam ka Tere karam ka naam, dua dar dua, asar Pinhaan hai kaayenaat ke zauq-e namo mein tu Tere wujood ki hai gawahi chaman chaman! Zaahir kahaan kahaan na hua, rang o boo mein tu Meri sada mein hain teri chaahat ke daaire Aabaad hai sada mere soz-e gulu mein tu Aksar yeh sochta hoon ke mauj-e nafs ke saath Shehrag mein goonjta hai lahoo, ya lahoo mein tu? Ay aalm-e-najoom o jawaahar ke kirdaar! Mujh ko bhi girah shaam o sahar kholna sikha! Palakon pe mein bhi chaand sitaare saja sakoon Mizaan-e khas mein mujh ko gehra tolna sikha Ab zehr zaiqay hain zubaan-e haroof ke In zaiqon mein "khak shifa" ghoolna sikha Dil mubtala hai kab se azab-e sukoot mein Tu rab-e nutq o lab hai, mujhe "bolna" sikha