Dhoondo gay agar mulkon mulkon milne ke nahiN naaeyab hain hum

Click here to read more articles from this author

Click here to read full magazine

Dhoondo gay agar mulkon mulkon milne ke nahin naayab hain hum Tabeer hai jis ki hasrat o gham ae hum nafso woh khawab hain hum Main hairat o hasrat ka mara khamosh khara hoon saahil par Daryaye muhabbat kehta hai aa kuch bhi nahin paayab hain hum Ae dard bata kuch to hi pata ab tak yeh raaaz hal nah hua Hum mein hai dil be taab nihan ya aap dil be taab hain hum Lakhon hi musafir chalte hain, manzil pe pahunchte hain do aik Ae ahl e zamanah qadr karo naayab nah hon kamyaab hain hum Murgaane qafas ko phoolon ne ae shaad yeh kehla bheja hai Aajao! Jo tumko aana ho aise mein abhi shaadab hain hum