Jis tarah Anis sau teen ke baad Captain Alfred Dreyfus case ko France mein aur Anis sau nawasi ke baad Bhutto case ke faislay ko Pakistan mein kisi muqadme mein koi bhi wakeel bator nazir ya hawala paish karna pasand nahi karta, kya Afzal Guro ke faislay ko koi bhi choti ka Bharati wakeel aindah kisi bhi adalat ke roobro bator ek roshan qanooni hawale ke paish karke kisi bhi mulzim ke liye sazaye maut ka mutalba pasand karega? Aniswain sadi ki aakhri dehai mein Captain Dreyfus par ye ilzam tha ke usne qoumi raaz Germanon ke hawale kiye. Baad mein pata chala ke ye kaam haqeeqat mein ek aur afsar ne kiya tha jise bachane ke liye fouji adalat ne Dreyfus ko umar qaid suna di aur jab paanch baras baad asal kahani samne aayi to Dreyfus ko fouj mein ohde samait bahal kar diya gaya. Yun Fransisi fouj ke ek dhare ki yahudi mukhalif zameer mutmain karne ki koshish ko roshan khayal Fransisi samaj ne kharki se bahar phenk diya. Beeswain sadi ki saatwain dehai mein Zulfikar Ali Bhutto ko is haqeeqat ke bawajood sazaye maut sunai gayi ke Bhutto barahe raast nahi balkay bila wasita shareek-e-jurm ghardana gaya tha aur court ka faisla muttafiqa ke bajaye manqasim tha. Phir bhi is waqt ki jamhuriyat mukhalif fouji junta ka zameer mutmain karne ke liye Bhutto ko phansi par latka diya gaya. Magar aaj tak is faislay ki phooli lash Pakistan ke qoumi zameer par bojh bani rehi hai. Muhammad Afzal Guro ko tehray December do hazaar ek ke Bharati Parliament par hamlay ke sirf do din baad bila wasita shareek-e-jurm, do digar Masterminds S.A.R. Gilani aur Shaukat Guro aur uski biwi Afshan ke hamrah hirasat mein le liya gaya. Police ne Afzal ke qabze se paisay, ek laptop aur mobile phone bhi daryaft kar liya magar unhe bator saboot sarbimar karna bhool gayi. Laptop mein siwaye Wazarat-e-Dakhla ke jali ijaazat namon aur Parliament mein dakhilay ke jali passoz ke akas ke siwaye kuch nahin nikla. Ghaliban mulzim ne sab kuch delete kar diya tha siwaye sab se ahem saboot ke... Janay kyun Afzal ko poore Hindustan se uski pasand ka wakeel bhi nah mila saka. Sarkar ki taraf se jo ek junior wakeel faraham kiya gaya usne bhi apne mukal ko kabhi sanjeedi se nahin liya. Afzal ke shiddat pasandi ki janib mail hone aur phir shiddat pasandi se taubah hone aur taubah hone ke bawajood security forces ke hatho bar bar behemana sulook ka nishanah banne aur is sulook ke bawajood ek padhe likhe shehri ki tarah zindagi guzarne ki sanjeeda koshish ki dastan par upar se neeche tak kisi bhi adalat ne kaan dharne ki koshish nahin ki. Jis muqadme mein insaf ke tamam taqazoun ke poora hone par shak ne do Bharati sadur ko Afzal Guro ki phansi ki tasdeeq se baz rakah. Woh tasdeeq balaakhir teesre sadar ne kar di aur yun Supreme Court ke faislay ki yeh satrain jeet gayi ke 'Agar che mulzim ke khilaf koi barahe raast saboot nahin. Is ke bawajood samaj ka ijtmaai zameer tab hi mutmain hoga jab mujrim ko sazaye maut di jaye.'ab agar ikiswain sadi ki adaltein bhi insaaf ke taqazoun se zyada samajh ke ijtimaai zameer ko mutmain karne mein dilchaspi le rahi hain to phir quron-e wasati ki paapai mazhabi adalaton ne yorop mein laakhon aurton ko churail aur laakhon mardon ko murtad bana kar zinda jala ke kya gunah kiya. woh adaltein bhi to samajh ka ijtimaai zameer hi mutmain kar rahi thi. roos aur mashriqi yorop mein guzishta barah sau saal mein har sau dedh sau baras baad yahoodi aqaliton ki nasli safai ki kiun muzamat ki jaye. yeh naik kaam bhi to samaji aksariyat ka zameer mutmain karne ke liye hi ho raha tha. riyasat gujarat mein jo kuch hua us se bhi to riyasat ki samaji aksariyat ka dil thanda hoga. to phir qanoon ki kitabein bhi alag rakh dijiye aur har muqadme par awami referendum karwaiye. aksariyat agar keh de ke phansi do to phansi de do. sirf itne se kaam ke liye gaon pehnne, bher ke balon ki safed topi silwane, kathra banwane aur qanooni nazaair ki libraryan jama karke samaat dar samaat ka takleef kiun? (BBC das February 2013)