Aye zameen aasmaan ke malik Saari duniya jahaan ke malik Tere qabze mein sab khudai hai Tere hi waste bardai hai Tu hi hai sab ka palne wala Kaam sab ke nikalne wala Bhook mein tu hamein khilata hai Pyas mein tu hamein pilata hai Aankh di tune dekhne ke liye Kaam karne ko haath paon diye Baatein ke sunne ko diye do kaan Baatein kehne ko tune bakhshi zuban Din banaya kamaai karne ko Raat di tune neend bharnay ko Sab ke garmi se the khata oosan Meena barsne se aayi jaan mein jaan Jara aya pahuncha aur gayi barsaat Dam ke dam mein palat gaye din raat Tu yun hi rut pe rut badalta raha Yun hi duniya ka kaam chalta raha Ki sada tune mushkilain aasan Teri mushkil kashai ke qurban