Zindagi Ke Tapte Sahra Pe Shah Arab Tere Ikram Ka Abr Barse Ga Kab

Click here to read more articles from this author

Click here to read full magazine

de tabassum ki khairat mahol ko hum ko darkar hai roshni ya nabi ek shireen jhalak ek noori dhalak talkh o tareek hai zindagi ya nabi aye naweed masih teri qoum ka haal Musa ki bhedon se ubtar hua iske kamzor aur be hunar hath se cheen li charkh ne bartari ya nabi kaam humne rakha sirf azkar se teri taleem apnayi aghyar ne hashr mein munh dikhainge kaise tujhe hum se nakardah kar ummati ya nabi ruh veeran hai aankh hairan hai ek bahraan tha ek bahraan hai gulshano shehron qariyon pe hai parfashaan ek ghambi afsoordgi ya nabi sach mere dor mein jurm hai aib hai jhoot fun azeem aaj lareeb hai ek izzat hai jahl o be rah rawi ek aazar hai aagahi ya nabi zeest ke tapte sahra pe shah arab tere ikram ka abr barsega kab kab har y hogi shaakh tamanna meri kab mitegi meri tishnagi ya nabi ya nabi ab to aashob halat ne teri yaadon ke chehre bhi dhundla diye dekh le tere taib ki naghma giri banti jaati hai noha giri ya nabi