Dukaan ke ek kone mein ek mashhoor kitaab Uncle Tom's Cabin pari nazar aayi. Is ka shumaar un kitaabon mein hota hai jo tabdeeli aur inqilab ka paish khaima banti hain. Is kitaab ne ghulami ke masla par amriki zameer ko jhanjhore rakh diya tha. Bohat kam kitaabon ne insani tareekh ko is qadar mutasir kiya hoga. Yeh kitaab un siyah faam afrad ki kahani hai jo ghulami ki zanjeer mein jakde gaye aur phir nasl dar nasl zulm ka shikaar hote rahe. Main ne kitaab utha kar kholna shuru kiya. Pehli baari yeh kitaab 1852 mein shaaya hui. Aglay do bars mein is ki America mein teen lakh aur Britain mein das lakh copiyaan bik chuki thin. Uniswain sadi mein Baibl ke baad sab se zyada bikne wali kitaab Uncle Tom's Cabin thi. Jo log insani muashrayon par adab ke asar se na aashna hain unhein yeh kitaab zaroor parhni chahiye. Is kitaab mein aansoo hi nahi zulm ke khilaf nafrat bhi hai aur tabdeeli ki amang bhi. America mein ghulami ke khilaf jung ki ek wajah yeh kitaab bhi hai. Is ki musannifah Colenken ne pehli baar dekha to yeh mashhoor firqah kahe baghair nah rah saka: So, this is the little lady who started that great war... Ke sang-e-khush se hote nahi jahan paida.