Do saalon ke sangam par main Jaane kya kya soch raha hoon Pichle saal bhi aisi hi ek Sard December ki shab thi jab Do saalon ke sangam par main Jaane kya kya soch raha tha Soch raha tha waqt ka panchhi Mah o saal ke pankh laga kar Apni ek makhsoos dagar par aarzta hai Do saalon ke sangam par main Beeti baatein yaad karoon to darta hoon Darta hoon ke jaane wale saal ka sooraj Aane wale saal ke pehle sooraj ko Apne tan ki saari haddat baksh na de Darta hoon ke aane wala mausam bhi Jaane wali zard paton ka aks na ho Mausam gul ki surat ke baraks na ho Sahn-e-chaman mein sholaon hi ka raqs na ho Soch raha hoon pichle saal iss lamhe Do saalon ke aise hi ek sangam par Kaise kaise log shareek-e-mehfil the Kitne hain jo aaj yahan maujood nahi Soch raha hoon agle saal issi lamhe Do saalon ke aise hi ek sangam par Jab likhega koi nazm to sochega Pichle saal ki aakhri nazmein likhne wale Kitne hain jo aaj yahan maujood nahi