Ranj-o-gham maange hain, andooh o bala maange hain.

Click here to read more articles from this author

Click here to read full magazine

Ranj o gham mange hain, andoh o bala mange hain Dil woh mujrim hai ke khud apni saza mange hain Chup hai har zakham-e-gulu, chup hai shahidon ka lahu Dast-e-qatil hai jo mahnat ka sila mange hain Tu bhi ek dolat-e-nayab hai, par kya kahiye Zindagi aur bhi kuch tere siwa mange hain Khoyi khoyi yeh nighahain, yeh khemeda palkein Haath uthaye koi jis tarah dua mange hain Raas ab aaye gi ashkon ki, na aahon ki Aaj ka pyar nayi aab o hawa mange hain Bansuri ka koi naghma na sahi, cheekh sahi Har sakoot-e-shab-e-gham koi sada mange hain Lakh munkir sahi par zauq-e-parastish mera Aaj bhi koi sanam, koi khuda mange hain Saans waise hi zamane ki ruki jati hai Woh badan aur bhi kuch tang qaba mange hain Dil har ek haal se begana hoa jata hai Ab tawajjuh, na tughafil, na ada mange hain