Silsile toR gaya, woh sabhi jaate jaate Warna itne to marasim thay, ke aate jaate Shikwa zulmat-e-shab se, tu kahin behtar tha Apne hisse ki koi shama jalaate jaate Kitna aasaan tha tere hijr mein marna jaanaan Phir bhi ek umr lagi, jaan se jaate jaate Jashn-e-maqtal hi na barpa hua, warna hum bhi PabjolaaN hi sahi, naachte gaate jaate Is ki woh jaane usay paas-e-wafa tha ke na tha Tum Faraz! Apni taraf se to, nibhaate jaate