Aasmanon par nazar kar anjam o mahtab dekh Subah ki bunyad rakhni hai to pehle khwab dekh Hum bhi sochein ge duaaye be asar ke bab mein Ik nazar to bhi tazad-e minbar o mehrab dekh Dosh par tarkash paray rehne de, pehle dil sambhal Dil sambhal jaaye to soye sineh ahbab dekh Mojah sarkash kinaaron se chhalak jaaye to phir Kaisi kaisi bastiyan aati hain zair-e aab dekh Boond mein saara samandar aankh mein kal kaainat Ek musht-e khak mein sooraj ki aab o taab dekh Kuch qalandar mashrubon se raah o rusm-e ishq seekh Kuch hum ashufta mizajon ke adab aadaab dekh Shab ko khat-e noor mein likhi hui taabeer parh Subah tak deewar-e aainda mein khulte baab dekh Iftikhar Aarif ke tand o tez lehje par na ja Iftikhar Aarif ki aankhon mein uljhte khwab dekh