tere khayal se lau de uthi hai tanhai shab-e-firaq hai ya teri jalwa arai tu kis khayal mein hai manzilon ke shadeedai unhein bhi dekh jinhein raaste mein neend aai thahar gaye hain sar-e-rah khak urane ko musafiron ko na chhed ae hawaaye sahraai reh-e-hayat mein kuch marhale to dekh liye ye aur baat teri arzoo na raas aai ye sanjha bhi mohabbat mein barha guzra ke usne haal bhi poocha to aankh bhar aai dil-e-fasurda mein phir dhadkanon ka shor utha ye baithay baithay mujhe kon dino ki yaad aai main sotay sotay kayi baar chonk chonk pada tamaam raat tere pehluon se aanch aai khuli jo aankh to kuch aur hi samaan dekha wo log thay, na wo jalsay, na shehr-e-raenai wo tab-e-dard wo sudaaye intezar kahan unhi ke saath gayi taqat-e-shikayat phir us ki yaad mein dil be qarar hai nasir bichar ke jis se hui shehr shehr ruswai