Hamare haan aksar iss baat ka shikwa kiya jata hai ke mukhlis aur bashaoor qayadat ka fuqdan hochuka hai. Ab nah Iqbal jaise fikri rahnuma paida hosakte hain aur nah Shah Waliullah jaise mazhabi aalim, nah Quaid-e-Azam jaise siyasi leader ki ab koi jagah hai aur nah Sir Syed jaise maslah ke uthne ka koi imkan. Lekin yeh naqta nazar Allah ta'ala ke qanoon ke qataan khilaf hai. Khuda ne jab se insaan ko iss dunya mein basaya hai tab se uski infiradi aur ijtimaai zarurat ki har cheez ki farahmi ki zimmedari khud le rakhi hai. Insani zarurat hawa, pani, khurak hi nahi balkay yeh bhi hai ke log mukhtalif salahiyaton ke sath paida hon takay ijtimaai zindagi wujood mein aasake. Iss maqsad ke liye Allah ta'ala mehnat, sarmaya, aqal aur ilm ka behtareen istemal karne wale log paida karte rehte hain. Aise hi ek tarah ke log woh hote hain jo qaum ki qayadat aur rahnumai ka kaam karte hain. Hamari qaum mein bhi Allah ta'ala ke iss qanoon ke tehat aala darjay ke leader paida hote rahe hain aur aaj tak horahay hain. Masla yeh nahi ke hamare haan leader nahi paida hote. Masla yeh hai ke leader to maujood hain, hum unki baat sunne, unki rahnumai qubool karne aur unka sath dene ke liye tayar nahi. Khaas kar hamara middle class tabqa jisne maddi asaishon ko zindagi ka nasb-ul-ain bana liya hai, woh apna kirdar ada nahi kar raha. Hum apne bachon mein ijtimaai khair o shar ka shaoor paida karne ke bajaye filmon aur music ka zauq paida karte hain. Hum unhe apne mazhab aur tehzeeb ka shaoor dene ke bajaye munh bigaar ke angrezi bolna sikhana pasand karte hain. Hum kitab khareedne ke bajaye burger khareedna, mutale ke bajaye TV par tafreehi programs dekhna pasand karte hain. Hum mukhlis aur bakirdar logon ka sath dene ke bajaye apne ghar aur careers ko maqsood zindagi banana pasand karte hain. Aisi surat hal mein hamein shikwa apne aap se hona chahiye nah ke mulk ke bad se badtar halat se.