woh daraaz qad ke wajiha o shakil aadmi thay. Allah ne unhein ghair mamooli salahiyatein ata farmai thin. un ki qabliyat ka andaza is amr se lagaya ja sakta hai ke unho ne America se English mein PhD kiya hua tha aur wahan mukhtalif universities se mansluk ho gaye thay. phir woh kayi saal tak England ki mashhoor universities mein parhate rahe aur aakhir mein Saudi Arabia ki Riyadh University se wabista ho gaye thay lekin gharailu hawale se Doctor Khan ko kabhi bhi sukoon maseer nah aaya. un ki shadi aali taleem yafta ameer khandan mein hui. Begum un ki zahirii lehaz se badi khubiyon ki malik thi aur Doctor Khan is hawale se khush bhi bohat thay. Allah ne unhein do betay bhi ata kiye. kam o besh bees saal tak miyan biwi mein mufahimat aur yagangti ki fazaa bhi qaim rahi, lekin phir badqismati se dono mein bigaad paida hua aur ghalat fehmiyan barhti hi chali gayi hain hatta ke pachas saal ki umr mein apni Begum ko talaaq de di. is waqt baray betay ki umr taqreeban pinteis saal thi lekin badqismati se woh nafsiyati mareez tha aur us ki shadi nahin ho saki thi. chhotay ki umr tees saal thi. Doctor Sahib ne us ki aik ameer khandan mein shadi ki aur shadi ke sath hi betay ko achi mulazmat mil gayi. baap beta dono khush thay. Doctor Khan ke sath aik aur badnaseebi yeh hui ke wasail rakhne ke bawajood woh ab tak apna makaan nahin bana sake thay aur kiraaye ke ghar mein rehte thay. chhotay betay ki shadi hui aur usay mulazmat mil gayi to us ne apni maa se mulaqat bahal kar liya aur baap ko aitemaad mein liye baghair aik roz usay ghar mein le aaya. iss moqay par us ne aik bara hi dardnak ghair insani drama kiya. Doctor Sahib chand roz ke liye kisi doosre sheher gaye hue thay. betay ne un ki ghaibat mein un ka samaan check karaya aur jab woh aik roz baad wapas ghar aaye to betay ne un ka raasta rok liya. "Dad! ab aap is ghar mein dakhil nahin ho sakte. yahan ab mein rahunga, meri Begum rahegi aur meri maa rahegi. aap ka samaan pack ho gaya hai. wapas jaiye, makaan ka intezam kijiye aur truck le kar samaan le jaiye." Yeh soorat hal aisi thi ke Doctor Khan chakkar kar rahe gaye. unhein zameen aasman ghoomte hue mehsoos hue lekin phir woh sanbhalay aur sar ko thaam kar apni car mein beth gaye aur kayi ghanton ki justuju ke baad aik makaan kiraye par hasil karne mein kaamyaab ho gaye lekin iss hadse ke baad woh dil ke araz mein mubtala ho gaye. jis ke natije mein un ka bypass operation hua aur ab woh sugar se bhi dochar ho gaye hain. Doctor Sahib nafsiyati mareez, baray betay ke sath aik makaan mein be bassi ki zindagi guzar rahe hain. zindagi un ke liye wabail ban gayi hai aur yeh mukaafat amal hai America aur England mein un ke "azadana" tarz-e-hayat ka. ***