Unnis sau chuntees mein nah tu is tarah se paki sarakain thin, nah araam deh mobile trailers, nah bullet proof jackets, nah mobile phone, internet, TV channels ya phir radio. Phir bhi maauzay tang aur un ke saathiyo ne faisla kiya ke Chang Kai Shek ke saath laakh faujiyon ke ghere mein chuon ki tarah marne se behtar hai ke cheetron mein lapeti red army aur communist siyasi karkunon ke hamrah ghera tor kar bahar nikla jaye. Ghera torne mein hi lag bhag chalees hazaar kamrade maare gaye. Magar maau aur Chayin Lai ki qayadat mein bach jane wale saat so asakri aur siyasi karkunon ne jungle ki raah li. Junub se shumal tak no hazaar kilometer ka fasla pa peyada ek saal teen din mein tay kiya gaya. Darmiyan mein kayi marhale aise bhi aaye ke dushman se bachne ke liye musalsal chaar din aur chaar raaton tak safar jari rakhna pada. Azeem Yangsi samt chobees dariya, uthaarah pahari silsile aur gyarah subay aubor karke jab yeh qafilah shumali subah Shaanxi pahuncha to sirf das hazaar kamrade zinda bache. Marne walon mein maauzay tang ka chhota bhai Mau Zai Tan aur do sooteelay bete bhi shamil the. Mau ki biwi ko shadeed zakhmi halat mein Moscow ke ek hospital rawana kiya gaya. Dil bohot bara tha Mau ka. Long March ke baad jab shumali ilaqe Manchuria par qabiz Japanyon ke khilaf jung ka marhala aya to Mau ne sirf ek cheeni ban ke socha aur Chang Kai Shek se Japanyon ke khilaf fauji ittehad kar liya. Char baras Japanyon se ladhne aur unhein peechay dhakelne ke baad Mau ne phir apne raste juda kar liye aur agle chhe baras Chang Kai Shek se narbard azma raha. Hatta ke Chang ko China se bhag kar Taiwan ke Jazeera mein pana leni pari aur yekum October unis sau pansath ko Mau ne Beijing mein surkhi inqalabi parcham lehra diya. Is safar ke doran Mau ne jangi hikmat-e-amli par likhna band nahi kiya. Shayr kehne ki aadat nahi chhodi. Bimari ke bawajood kahin peechay nahi raha. Dariya kisi ki peeth par chadh ke aubor nahi kiye. Paharon par chadhne mein sirf ek chhadi ki madad li. Apni bari par khana bhi pakaya aur kamradon ke kapre bhi dhoye aur khud ko aur saathiyo ko musalsal zinda rakhne wali khitaabat bhi jari rahi aur geet bhi gaye. Maauzay tang mein agar jannati sabr, deewar-e-cheen si stable qadmi, halat ki nazakat ke tehat zaati ana aur zidd ko pas-e-pusht dal kar faislay karne ki azeem salahiyat nahi hoti to Mau bhi apna inqilab dil mein liye kahin paharon mein hi markhup chuka hota. Ba qaul Mau 'Inqilab kisi ziyaft, mazmoon nigari, fun-e-musavvari ya kashida kari ka naam nahi hai. Agar tum janna chahte ho ke inqilabi nazariya aur inqilabi tareeqa kya hota hai to phir khud seekho. Asli ilm barah-e-raast tajarbe ke baghair mumkin nahi.' "Sad shukr ke maauzay tang koi be sabra fast bowler nahi balkay ghair mamooli googly spinner tha. Ek achi baat yeh bhi thi ke Mau ko apni neend par mukammal qabu tha. Woh teen din bhi jag leta tha aur topyon ki ghan gurj mein bhi so sakta tha. Mau se pehle yeh wasf sirf Napoleon mein dekha gaya. Ek darmiyanay se sakht geer kisaan ke bete Mau ne nah tu kisi aali daras gaah ka munh dekha nah hi kisi Gautam Buddha, Confucius ya Marx se aalam-e-roya mein asbaaq liye. Usay to khud ko kisi qabil banane ke liye library assistant, parAamri school ka ustaad, dhobi, trade unionist, adab, sipahi aur shaair ki zindagi basar karna pari aur phir zindagi ki university se jo sarmaya kamaya, inqilaab par laga diya. Aaj maouze tang ki rooh agar aab para par guzri hogi to siwaye is ke aur kya gungunaya hoga. Aap ek aur neend le lijiye Qafla kooch kar gaya kab ka (Jon Elia)