Ay mursal pakiza kho, kis khlaq ka pekra hai tu Quran hai goya ho baho Kishwar kashaye behr o bar ehsan hai tu sar basar Tu har zaman ki abro Tu kainat husn hai teri zakat husn hai Yeh ab o gil, yeh rang o boo Sab rang mein ek rang hai batla diya kis dhang se Dil par bitha kar naqsh ho The woh najo muhtidi bakht un ke thay kitne rasa Bethay jo tere robaro Roma, habash, Iran se sab aa ke tere ho gaye Jin ko thi haq ki justuju Khawabon mein aakar muskura, be daryon ko jagmaga Ay amna ke mah e ro Chehra tera takta rahoon tujh se teri batein sunoon Rakhta hoon mein bhi arzu Dekhiye dua bab e asar sham e malak ki ho sahar Mehdi sara ho mo be mo