Yahan bhi to wahan bhi to zameen teri teri falak tera Kahin hum ne pata paya na har gaz aaj tak tera Sifat o zat mein yakta hai to ae wahid mutlaq Na koi tera sani koi mushtarak tera Jamal Ahmed o Yusuf ko ronak to ne bakhshi hai Mulahat tujh se shireen husn shireen mein namak tera Tere faiz o karam se nar o noor aapas mein yakdil hain Sana gar yak zaban har ek hai jan o malak tera Kisi ko kya khabar kyun shar paida kiye to ne Keh jo kuch hai khudai mein woh hai lareeb kiye to ne Na jalta tor kyun kar kis tarah Musa na ghush khaate Kahan yeh tab o taqat jalwa dekhe mare dek tera Dua yeh hai ke waqt marg uski mushkil asan ho Zaban par daagh ke naam aaye ya rab yak ba yak tera