Aap ne Pakistani currency note to dekha hoga lekin is note ko is shakl mein aane mein ek lambi kahani pohanchi hai. Aaiye aaj hum aap ko is ki tareekh bayaan karein. Yakum April 1948 mein hakoomat ne ek pai, aadha anna, do anna, pao rupiya, nisf rupiya aur ek rupiya ke saat sikke ka ek set jaari kiya aur us waqt ke wazir-e-khazana Ghulam Muhammad ne ek khoobsurat taqreeb mein yeh set Baba-e-Qaum Muhammad Ali Jinnah ki khidmat mein pesh kiya. Pakistan mein maliyati nizaam ka baqaida aghaz July 1948 mein Karachi mein State Bank of Pakistan ke iftitah se hua. Is iftitah ke baad Pakistan mein naye currency notes ki tayyari aur Pakistan ke apne security printing press ke qayaam ke liye koshishain tez kardi gayi. In koshishon ke natije mein darjay tarteeb se sikke aur notes ka ab tak ka ijarah hota raha hai. Yakum October 1948 ko hakoomat Pakistan ne paanch rupye, das rupye aur sau rupye ke currency notes jaari kiye. Yeh notes Britain ki firm Messrs De La Rue and Company mein taba kye gaye thay. Yakum March 1949 mein hakoomat Pakistan ne ek aur do rupye ke currency notes jaari kiye. Ek rupiya par wazarat dakhliah ke secretary Victor Turner ke dastakhat jabke do rupye par 'Pehli Martaba' State Bank ke Governor Zahid Hussain ke dastakhat shaie huye. Is se pehle notes par wazir-e-khazana Ghulam Muhammad ke dastakhat shaie hote thay. State Bank of Pakistan ki taraf se yakum September 1957-04 ko paanch rupye aur das rupye ke notes jaari kiye gaye. State Bank ne 24 December 1957 ko sau rupye maliyat ka note jaari kiya jis par Baba-e-Qaum Muhammad Ali Jinnah ki tasveer print thi. Is ke dosri taraf Badshahi Masjid Lahore ki tasveer thi. Is par Governor State Bank Abdul Qadir ke dastakhat thay. Pakistan mein pehli bar yakum January 1961 ko aishari sikke jaari kiye gaye jin ki wajah se ek pai, paisa, aikani, doni, choni aur uthni ki qanooni hesiyat khatam karke rafta rafta ek, do, paanch, pachas, pachas paisay ke sikke aur ek rupiya ka sikka rajj hua. 12 June 1964 ko State Bank ne pachas rupye maliyat ka currency note jaari kiya. Is note par Governor State Bank Shujaat Ali ke dastakhat thay. 7 June 1971 ko Pakistan ki wazarat khazana ne ilaan kiya ke chand naguzeer wajoohat ki bina par ek sau aur panch sau rupye ke notes ko ghair qanooni qarar diya ja raha hai, is liye awaam ek sau aur panch sau ke notes ko bankon aur muqarrar idaroon mein jama karwa kar un ki rasheed lein takay baad mein un ke mutabaadil doosre notes hasil kar sakein. Pakistan ki tareekh mein ghaleban pehli martaba 25 December 1966 ko hakoomat ne chandi aur sonay ke 100 aur 500 rupye ke do yadgari sikke jaari kiye, jo ke Venezuela mein tayaar kiye gaye thay. 20 January 1982 ko hakoomat Pakistan ne ek rupiya maliyat ka aur baad azan State Bank of Pakistan ne paanch, das, pachas aur ek sau rupye maliyat ke chaar naye currency notes jaari kiye. Jin ki ek khas baat to yeh thi ke is par Bengali zabaan ki abaraten hazaf kar di gayi thay aur doosri yeh ke un ki peeth par Urdu mein 'Rizq Halal Aine Ibadat Hai' ki abarat tiba thi. Yakum April 1986 ko State Bank of Pakistan ne paanch sau rupye maliyat ka naya currency note jaari kiya. 18 July 1987 ko State Bank of Pakistan ne ek hazaar rupye ka currency note jaari kiya jis ka maliyat ke aitbaar se us waqt Pakistan ka sab se bara currency note tha. Aqwam Mutahidda ki Golden Jubilee ke hawale se 29 January 1996 ko hakoomat Pakistan ne ek khas sikka jaari kiya, is sikke ki peeth par Aqwam Mutahidda ka logo aur pachas ka hendesa kanda tha. 22 March 1997 ko hakoomat ne Pakistan ki Golden Jubilee taqreebat ke hawale se pachas rupye maliyat ka ek khas sikka jaari kiya, is sikke ki peeth par Pakistan ka parcham bana tha aur pachas saalha jashn-e-azadi Pakistan 1947 ta 1997-04 ke hawale se State Bank of Pakistan ne paanch rupye kaAik khasoosi note jaari kiya jis ki peechay Miltaan mein waqe Shah Rukn Alam ke mazaar ki tasveer shaayi ki gayi thi. 26 May 2006 ko State Bank of Pakistan ki Governor Doctor Shamshad Akhtar ne mulk ki tareekh ke sab se bade currency note jo ke paanch hazaar maaliyat ka tha ke iqraar ka elaan kiya. Issi roz das rupay ka naya note bhi jaari kiya gaya jis ka rang sabz jabke us ki peechay Bab-e-Khyber ki tasveer shaayi ki gayi thi. 26 May 2006 ko State Bank ki taraf se das rupay maaliyat ka yaadgaar sikka jaari kiya gaya jis ka rang safed aur wazan 8.25 gram tha. Us ke baad 1 October 2009 ko Awami Jamhooriya Cheen ke saathwein jashn-e-azadi ke moqa par das rupay maaliyat ka ek yaadgaar sikka jaari kiya gaya. Us ki peechay Pakistan aur Cheen ke parchamoon ki tasveeron ke saath "Saath saalha jashn-e-azadi Awami Jamhooriya Cheen" aur "Pak Cheen dosti zindabad" ki ibarat darj thi.