Yaad mein teri jahan ko bhoolta jaata hoon main Bhoolne wale, kabhi tujh ko bhi yaad aata hoon main Ek dhundla sa tasawwur hai ke dil bhi tha yahan Ab to seenay mein faqat ek tees si paata hoon main Aarzooon ka shabaab aur marg-e-hisrat haye haye Jab bahaar aayi gulistaan mein to marjhaata hoon main Hashr meri shair-goi hai faqat faryaad-e-shauq Apna gham dil ki zubaan mein, dil ko samjhaata hoon main