koi nayi chot phir se khao! udas logon kaha tha kis ne, ke muskurao! udas logon guzar rahi hain gali se, phir matmi hawayein kiwaar kholo, diye bujhaao! udas logon jo raat maqtal mein baal khole utar rahi thi wo raat kaisi rahi, sunao! udas logon kahan tak, baam o dar charaghan kiye rakhoge bicharne walon ko, bhool jao! udas logon ujad jungle, dari fazaa, hanpti hawayein yahi kahin bastiyan basao! udas logon ye kis ne sehami hui fazaa mein hamein pukara ye kis ne awaaz di, ke aao! udas logon ye jaan gunwane ki rut yunhi raegain na jaaye sar-e-sina, koi sar sajaao! udas logon isi ki baaton se hi tabiyat sambhal sakti gi kahi se mehsan ko dhundh lao! udas logon