waqt aisa qeemti johar hai jiska andaza kam logon ko hota hai. waqt ka nafa baksh istemal saadat mandi aur rab-e-kareem ki raza hai. agar aap khwahish mand hain ke aap ko dunya aur aakhirat mein buland maqam haasil ho to phir aaram talabi, susti, fazool kaamon aur fazool guftagu ko chhod kar aaj se Allah se ahd kar ke ek minute mein bohot si hasanat jama kijiye. yeh sab aap zabaan se Allah ko yaad kar ke, sadqah kar ke ek minute mein kar sakte hain. 1. ek minute mein aap, moatadil raftaar se "Surah Al-Fatihah" parh sakte hain. Teen baar "Surah Al-Fatihah" ka ajr o sawab bohot zyada hai. 2. ek minute mein aap "Surah Al-Ikhlas" ki das se zyada martaba tilawat kar sakte hain. Surah Al-Ikhlas ka ek baar parhna ek tehai quran parhne ke barabar hai. 3. ek minute mein aap Quran Pak ka moatadil raftaar se ek safha parh sakte hain. Quran Majeed ke ek harf parhne ki das hasanat hain. To ek safha se la ta'adad nekiyaan hasil hongi. 4. ek minute mein aap Quran Majeed ki mukhtasir ayat mubarakah hifz kar sakte hain. 5. ek minute mein aap bees martaba "La ilaha illallah wahdahu la sharika lahu, lahul mulk walahu alhamd wahuwa 'ala kulli shay'in qadeer" keh sakte hain. Is amal ka ajr Allah ki raza ke liye Aulad Isma'il mein aath ghulamon ki azadi ke barabar hai. 6. ek minute mein aap sau dafa "Subhan Allah wa bihamdihi" keh sakte hain. Sau dafa parhne se gunah maaf kar diye jate hain. Khwah samandar ki jhaag ke barabar kyun na hon. 7. ek minute mein aap pachas dafa "Subhan Allah wa bihamdihi subhan al-azim" keh sakte hain. Sahih Bukhari aur Muslim mein Rasool Allah ne farmaya: ke yeh do kalimat zaban par halkay, mizaan mein bhaari aur rahman ko intehai mohabbat hain. 8. ek minute mein aap chalis se zyada dafa "La hawla wala quwwata illa billahil 'aliyyil 'azim" parh sakte hain. Yeh jannat ke khazano mein se ek khazana hai. Yeh kalimat mushkilaat se niptne aur muhimaat sar karne ka nuskha kimiya hai. 9. ek minute mein aap pachas dafa se zyada martaba "La ilaha illallah" parh sakte hain. Yeh kalimah tayyibah yaqeenan kalimat hasanah mein se afzal tareen amal hai. Yeh kalimah tawheed hai. Agar kisi shakhs "Momin" ke yeh aakhri alfaaz hon to woh jannat mein dakhil ho ga. 10. ek minute mein aap pandrah martaba "Subhan Allah wa bihamdihi wadada khalkihi wa razi nafsihi wazinata 'arshihi wamidad kalimatihi" keh sakte hain. Rasool Allah ne farmaya yeh kalimat bohot ajr o sawab wale hain. 11. ek minute mein aap kayi bar "Astaghfirullah allazi la ilaha illa huwal hayyul qayyum wa atubu ilaih" parh kar Allah Rabb ul azat se us ki maghfirat aur bakshish ka gohar talab kar sakte hain. Astaghfar to jannat mein dakhool, afaat se bachao, muhimaat mein aasani,Barish aur rahmat ke nazool aur maal o aulad mein izafay aur barkat ki mojib aur sawab hai. 12. Ek minute mein aap "Salallahu Alaihi Wasallam" keh kar Allah Ta'ala ke Rasool Muhammad Salallahu Alaihi Wasallam par pachas martaba durood bhej sakte hain. Badle mein aap par Allah Ta'ala ki janib se paanch sau rahmatein nazil hongi. 13. Ek minute mein aap chalne wale rastay se koi nuksan deh cheez hata sakte hain. 14. Ek minute mein aap kisi pareshan haal musalman bhai ki kalimat-e-khair se diljoi kar sakte hain. Yeh bhi azeem amal hai. 15. Ek minute mein aap kisi musalman bhai ko mukhlisana mashwara de sakte hain. Yeh bhi amal saleh hai. 16. Ek minute mein aap kisi musalman bhai ko kisi bure kam se mana kar sakte hain. 17. Ek minute mein aap kisi musalman ka khair ke kam mein haath bata sakte hain. 18. Ek minute mein aap kayi musalman bhaiyon se salaam le sakte hain aur musafaha kar sakte hain. Is amal ki azmat Ahadith sahih mein warid hai. 19. Ek minute mein aap apne kisi aziz ko phone kar ke silah rehmi ka azeem aur Allah Ta'ala ka mahboob amal saleh kar sakte hain. Is amal ki azmat ka andaza ahl-e-ilm bakhubi jaante hain. 20. Ek minute mein aap bethe hue, chalte hue ya lete hue apne dil mein shukr ada kar sakte hain. 21. Ek minute mein aap kisi aasan faham aur nafay bakhsh kitab ke do safhat ka mutala kar sakte hain. Is ke ilawah kisi bhi waqt haath utha kar koi si bhi du'a Allah Rabbul A'izzat ke gosha-gar kar sakte hain. Ae hamare Allah, amal ki toufeeq ata farma. Ameen.