Taluk yaad rakhta hoon, nishani yaad rakhta hoon Kahan thehri, kahan guzri jawani yaad rakhta hoon Kisi ke saath beeta talkh lamha bhool jata hoon Kisi ke yaad guzri raat suhani yaad rakhta hoon Mujhe mehsoos hota hai sabhi kirdar hain mere Isi wajah se mein sari hi kahani yaad rakhta hoon Bitha kar samne usko kayi ghazlein likhi maine Woh aamad woh tabiyat ki rawani yaad rakhta hoon Bhalaai kar ke mein aksar baha deta hoon darya mein Yehi karna hai sari zindagani yaad rakhta hoon Tabhi to mein dar-e-taubah pe aksar sar jhukata hoon Ke aasakti hai koi nagahani yaad rakhta hoon Kisi se baat karte pal mein jo alfaz kehta hoon Mein un alfaz ki izzat maani yaad rakhta hoon Baraye sood har ek sood ko be sood likhta hoon Baraye raigani, raigani yaad rakhta hoon Tere kaf-e-musalsal mein, mein chaahe jitna kho jaoon Par ae duniya tu hai ek daar-e-fani yaad rakhta hoon Farawani munsar hai sahoolat bhi mujhe lekin Kabhi salman thi uski girani yaad rakhta hoon