George Washington George Washington America ka pehla sadar tha. Iss shakhs ko qudrat ne behtareen salahiyaton se nawaza. America ki azadi se pehle woh riyasat Virginia ki taraf se foji khidmat bhi sar anjam deta raha. Yeh us ki nojawan dino thay. Bahadur, zehni aur muthamal mizaj. Britain aur France ki jung ke doran us ne bohot naam kamaya. Jung ke baad woh apni rehaishgah 'Mount Vernon' wapas laut aya aur apne khandan ki rawayat ke mutabiq siyasat mein hissa lene laga. Pehle pehle woh chahta tha ke America par Britain ki hakoomat barqarar rahe lekin aahista aahista iss tasallut se bezar hone laga. 1775 mein jab American awam ne azadi ka nara buland kiya to usay mutahidda afwaj ki sarbarahi ke liye chuna gaya. Us ka tadbir aur tajurba us ke tarkash ke do bade teer thay. Azadi ki yeh jung aasaan nah thi lekin fatah ne balaakhir Washington ke qadam choom liye. Woh ek qoumi hero ban gaya. Lekin itni badi fatah ke baad woh ek roz-e-khamoshi se wapas Mount Vernon pohancha aur phir se apne paltu kutton aur ghodon se dil behlana shuru kiya. Fatah ke baad har sipah salar badshahat ka taj pehnna chahta hai lekin Washington ne aisi kisi khwahish ka izhar nah kiya. Yeh khud par jabar ki naqabil-e-yaqeen misaal thi. Us ka yehi andaz logon ko bhaya aur usay ittefaq-e-raye se America ka pehla sadar muntakhib kar liya gaya. Bator sadar bhi woh intehai qabil-e-muntazim sabit hua. Us ka sab se bara challenge qoumi wahdat ka farogh tha. Woh us ke husool mein kamiyab raha aur America ki riyasatein Federal azam ke asoolon ke tehat apni apni khud mukhtari ke bawajood ek markaz pe mutfiq hone lagi. 1792 mein Washington dobara sadar muntakhib hua. Sadarat ke doosre dour mein us ki mushkilat kuch aur barh gayi. Us waqt Britain aur France aalami siyasat ke do bade kirdar thay. George Washington ne ek nozaidah riyasat ko un taqaton se jis tarah bachaya woh duniya ki tareekh ka roshan bab hai. March 1797 mein us ki sadarat ka doosra dour khatam hua. Woh chahta to teesri bar bhi sadar muntakhib ho sakta tha. Kuch logon ne usay tahiyat-e-sadar banane ki tajaweez bhi dien jabkeh kuch usay badshah ka darja dena chahte thay. Lekin America ki awwalin qayadat jinhein Founding Fathers kaha jata hai tareekh ka mukammal shaoor rakhti thi. Jefferson, Hamilton, John Adams, Franklin. Iss kahkashan mein Washington ek chamakta hua sitara tha. Us ne ek bar phir Mount Vernon ki pursukoon khamoshi ko tarjeeh di aur zati iqtdar ki khwahish ko jamhooriat ki nai shama pe nachhawar kardiya. Aise hi log mudabbir kehlata hain. Aise hi log qoumon ki daagh bail dalte hain. George Washington 1799 mein is duniya se chal basa. Jamhoori iqdaar ka ilmbar dar yeh ek ajeeb jarnail tha. Sipah salari, siyasat aur phir qanaat aur gumnaami ka pur sakoon raasta. Aisa imtizaaj tareekh mein bohot kam milta hai. Hamare jaise mulkon mein to yeh imtizaaj aur bhi kam hai………… ek taraf woh log hain jo koi jung larde baghair field marshal ban jate hain aur ek taraf woh log hain jo khud salib par latk ke mulk aur qoum ko baqa ka tehfa dete hain………… afsos ke George Washington jaisa ek sipahi bhi hamain nasib nah hua: Hamid naam tha jiska gaya Timur ke ghar se Rumi Khana Rumi Khana koi pachis saal pehle America pohancha. Jab woh Delhi se chala to khali hath tha lekin us ke sine mein arzooon ki ek dunya abad thi. America imkanat ki sarzamin hai. Mehnat ki aadatT ho to taraqqi ke darwazay khultay chalte jaate hain. Rameesh Khanah ke paas bhi yehi khobi thi. Pentees saal baad jab woh retired hua to uske paas kuch dolat jama ho chuki thi. Retirement ke baad Rameesh Khanah aur uski begum ne ghar se nikalne ka faisla kiya. Jab unhone aadhi duniya dekh li to ek din unhein Chiniot naam ka woh chhota sa shehar yaad aaya jahan unka bachpan guzrata tha. Jis ki galiyan unki haseen yaadon ka hissa thi. Jis ke darwaze "chabootre" mmtiyan" un ke dil mein dhadakte the. Jis ki haveliyan unhein mut'heer karti thi. Yeh unnisween sadi ki chauthe daahi ka tazkra hai jab Rameesh Pakistan ke ek qasba Chiniot mein apne waliden ke saath ek chhote se ghar mein rehta tha. Use wahan ki teen cheezein bohot achi lagti thi. Mandir, mandir ke qareeb waqe masjid aur us masjid ke minar. Lahore ke mohalla Sunat Nagar mein rehne wali ek chhoti si larki bhi use achi lagti thi. Uska naam Namal tha. Baad mein yehi Namal uski shareek-e-hayat bhi bani. Mandir, minar, masjid aur Namal. Itni der mein azadi ka bugal baja aur yeh sab kuch us se chhin gaya. Siwaye Namal ke. Chiniot se Chak Jhumra ka railway station, wahan se Lahore aur phir Bharat. Khauf ke gehre saaye mein Rameesh apne khandan ke humrah Delhi pohanch gaya. Zindagi ke agle pachas saal mehnat mein guzar gaye. Kuch Delhi aur kuch America. Justuju, kamiyabi, retirement, siro safar. Phir na jaane kya hua ke use Chiniot ki yaad bechain karne lagi. Ek baar, sirf ek baar mein Namal ke saath wahan jana chahta hoon jahan mere buzurgon ki zindagi guzri. Rameesh Khanah ne yeh kaha aur phir sochne laga ke yeh sab kaise mumkin hoga. Sochte sochte ek diya sa roshan hua. Use December 1993 ki wohi raat yaad aane lagi jab Chaudhry Allah Bakhsh ke ghar aatish daan ke gird bohot se log jama the. Phir use yaad aaya ke wahan uski mulaqat ek aise shakhs se hui tha jo khud bhi Chiniot ki mohabbat ka dawedar tha. Rameesh Khanah ne Chaudhry Allah Bakhsh se apni is khwahish ka izhaar kiya aur phir bohot se marahil tay karne ke baad Rameesh Khanah aur uski begum Namal mere paas Lahore pohanch gaye. Mere israr par unhone mujhe hi mizbaani ka sharf baksha. Agley saat roz unhone yun guzare jaise woh kisi jannat mein reh rahe hon. Rameesh Khanah ki khushiyon ka koi thikana na tha. Woh Chiniot ki galiyon mein deewana war ghoomta raha. Usne har us yaad ko taza kiya jo uske dil mein abad thi. Chiniot ke logon ne bhi use haathon haath liya aur dil bhi. Sheher ke nazim, Zulfiqar Ali Shah ne use apne ghar mad'oo kiya aur itni izzat di ke khushi se uski aankhen bhi gili gayi. Jab woh rukhsat hua to ek potli mein us ghar ki mitti sath le kar gaya jahan usne pehli baar aankhen kholi thi. Sarhadon ki fasil kahin bhi badi ho, mitti ki mohabbat to zinda rehti hai. Yeh chand din palak jhapakten mein beet gaye. Jaane se pehle Rameesh Khanah ne akhuwat ko do sau dollar ka eidi bhi diya. Yeh kisi ghair mulki ka akhuwat ke liye pehla eidi tha. "Akhuwat ka rishta sarhadon se buland hai". Rameesh Khanah ne eidi ke sath ek paigham bhi diya. America jaakar Rameesh sahib ne mujhe ek khat mein likha ke "Taqseem Hind ke waqt mere buzurg jab Chiniot se nikle to na sirf maashi ghurbat ka shikar the balkay kisi bade samaji rutbah ke malik bhi na the. Agar mein apne marhoom walid ko yeh bata sakta ke mein Chiniot mein un logon ka mehmaan tha jin ki haveliyan ko dekh ke hum hairan hotay the to shayad unhein yaqeen hi na aata. Chiniot meri yaadon ka haram hai. Wapas aanay ke bawajood yun lagta hai jaise mein abhi tak tawaf mein hoon. Doctor sahib! Aap ne ek aam insaan ko itna barabna diya". Wahi Rameesh Khanah jo ek mutawassit gharane ka fard tha hijrat ki sahoolaton ke bawajood logon ko bohot peechay chhod gaya. Usi ka naam "Gardish-e-Leil o Nahar" hai. Log apne maazi koaur bhool jaate hain lekin Ramesh Khanah ne maazi ko bhool nahi kiya. Usne apni mehnat se ek bartar samaji rutba hasil kiya. Lekin us se bada karnama yeh tha ke usne apni posteen ko pehnay rakha. Yaadon ka haram aur tawaf. Aaj pachas saal pehle Ramesh Khanah jab khauf ke aalam mein Chiniot se nikla to use kya khabar thi ke woh ek roz usi sheher ka mehmaan banega. Sheher ka nazim use dil mein jagah de ga. Kabhi khushi kabhi gham, kabhi tauqeer kabhi tahqeer. Hum mein se kitne hain jo unchi neech ki is haqeeqat ko samajhte hain.