Hal jaza al-ihsan illa al-ihsan Aaj bohot dinon baad is buzurg ka zikr phir se ho raha tha aur abba jaan ki peshani par phir wahi soch ki gehri lakeeren numoodar ho gayi thi. Aise mehsoos ho raha tha ke jaise ek baar phir woh maazi mein pohanch gaye hon. Betay se raha na gaya, bola, "Abba jaan, aakhir aisi kya baat hai jo aap aaj tak is buzurg ko bhula nahi paaye, halankay deeni o duniyawi aitbaar se aap ko us se bohat boodh hai." Abba jaan hasb-e-dastoor muskuraye aur phir unhone dastan zindagi ka ek varq palta aur yun goya huye ke bete mujhe is buzurg se deeni masail mein usooli ikhtilaf hai lekin is ka matlab yeh nahi ke mein us ke ihsan ko bhool jaoon. Is buzurg ne mujhe us waqt chand sau rupay anayat kiye the jab mujhe un ki ashad zarurat thi. Mere paas entermediate ki kitaben khareedne aur dakhla bhejne ke paise na the aur kisi taraf se koi ummeed bhi nahi thi to yeh buzurg aage barhe aur is sharat par raqam anayat ki thi ke jab mere paas gunjaish ho waaps kar dena. Aur phir main ne barson baad apni pehli tankhwa mein se unhein yeh chand sau waapas kar diye the lekin beta! Agar us din woh buzurg meri madad ko na aate to aaj tum sab log itni aasooda zindagi na basar kar rahe hote. Abba jaan ne isi intermediate mein poore board mein teesri position li thi aur phir roshan mustaqbil ne un ki chokhat par dastak di thi. Beta hairan hua ke jis se itna shadeed ikhtilaf, us ke chand sau rupay ka ehsan bhi abba jaan bhula nahi paate. Lekin doosri taraf bete ne dekha ke woh jo namaz ki imamat karte hue aksar "Hal jaza al-ihsan illa al-ihsan" parha karta tha, us ne abba jaan ke ehsan ko kis tarah bhula diya. Woh agar abba jaan ka mulazim tha lekin abba jaan ne use beton ki tarah rakha tha. Abba jaan ne dekha ke us ki maali halat behtar nahi ho rahi to apni gaadi bechi, khud motor cycle par aa gaye aur use rickshaw le diya ta ke woh use chala kar apni maali halat mein behtari laaye. Lekin woh use sahi istemal na kar saka aur ek saal ke baad hi shikayat karne laga ke use is rickshaw mein nuksan ho raha hai is liye woh use mazeed jari nahi rakh sakta. Abba jaan ne kaha ke jab tak tum rickshaw chalao yeh tumhara hi hai mera koi mutalba nahi siwaye is ke ke tum meri beti ko jise woh bhi behan kehta tha school chhod aaya karo lekin agar tumhein nuksan hi horaha hai to phir theek hai use bech do aur jitne mere paise hain un ke barabar mujhe loota do baqi tum rakh lo. Itna kehna tha ke us ke chehre ka rang badal gaya, us ne kaha, "Kon paisay ki wapsi? Aap ne to kaha tha ke yeh rickshaw tumhara hai." Abba jaan ne kaha ke haan tumhara hai mera tum se koi mutalba nahi bshtar ke tum isay chalao aur is se apna ghar chalao lekin jab tum isay khatam karne pe talay hoto phir tum mujhe mere paise loota do. Magar woh na mana. Beta phir hairan hua ke abba jaan us ke na manne par naraz nahi hote the balkay us ki zid ke aage hathiyaar daal diye the aur yeh keh kar bade aaram se uth aaye the ke chalo acha yeh ek lakh bhi tumhara hua jo chaho karo. Lekin beta ne dekha ke woh andar hi andar bahut tut se gaye the. Aur phir beta is baat pe bhi bohat hairan tha ke aaj ke mahaul mein jahan log paisay paisay pe marte hain us ka abba kis tarah ek lakh usay baksh ke aa gaya tha. Beta ne socha shayad usay hi kehte hain ke duniya ki ahmiyat ka dil mein na hona. Beta dekh raha tha ke pardes mein barson ki tanhai ne us ke walid ke aasab ko kamzor kar diya tha lekin beta neDekha ke is ehsan faraamushi ne un ke aasab ko kamzor kar diya tha. Woh pehle se bhi aahista bolne lagay thay lekin is ke bawajood un ke jazbe mein koi farq nah aya tha ke jitna ho sake har haal mein dosron ki madad ki jaye. Betay ne jab is ki wajah poochi to abba jaan ne kaha ke beta, jab na maqool halaat ke bawajood bure log burai nahi chhorte to hum namaaqool halaat ka bahana bana kar neki karna chhoren. Aur phir usne kaha ke beta, shukr guzar banda banne ka bhi yehi sab se acha tareeqa hai ke jis tarah malik har haal mein hamara saath nahi chhorta, hum bhi har haal mein us ke bandon ka saath na chhoren aur jis tarah woh har haal mein humein yaad rakhta hai, hum bhi har haal mein us ke bandon ko yaad rakhen aur jis tarah woh hamari na farmaaniyon ke bawajood hum par ne'maton ki barish karta hai, us tarah hum bhi bandon ki ehsan faraamushi ke bawajood un se behtar sulook kiye jayen kyunke banda jane na jane, woh jis ke liye hum karte hain woh to behar haal jaanta hai.