Wall Street aur Hollywood ke makino se bohat mukhtalif. Aik kamzor siyah faam aurat jis ki kahani Amrici muashre ka aik aur rukh pesh karti hai. Is kahani ka hasil yeh hai ke Amrica sirf Wall Street nahi kuch aur bhi hai. Ousiola Sadiqi, kifayat shuari aur ehsaar ka pekar thi. Woh chhoti Jamaat mein parhti thi ke uski khala bimar rehne lagi. Khala ki koi aulad nahi thi. Zimmedari Ousiola ko sonp di gayi. Woh khala ki khidmat mein is qadar mahv hui ke school jana hi bhool gayi. New York ke gali koochon mein kayi saal yunhi guzargaye. Jab tak khala is duniya se rukhsat hoti, uske sare khwab murjha chuke the. Usne shadi na karne ka faisla kiya aur apne mahalle mein logon ke bartan dhonay aur kapray istri karne lagi. Is mazduri ke natije mein use jo kuch milta, uske mamooli akhrajat aur khane peenay ke liye kafi tha. Kuch na kuch baqi bach jata, jis se woh logon ki madad karti ya use bank mein jama karwa deti. Mehnat aur bachat ka yeh silsila chalta raha. Najane kitni bahaarein khizaan mein tabdeel hui. Jab uski umar satasi saal hui to woh ek din apne bank gayi. Bank officer ne bataya ke uske account mein kayi lakh dollar jama hain. Pachhattar saal ki mehnat ka thamr. Usne kuch dino sochne mein guzare aur phir us dawlat ko do hisson mein taqseem kiya. Dher lakh dollar se African American talib ilmou ke liye aik endowment fund banaya aur baqi raqam qareebi church aur apne ghareeb rishtedaaroon mein taqseem kardi. Woh ehsaar ka pekar jo thi. Amrica ke sadar Bill Clinton ne Ousiola McCarthy ko White House aane ki dawat di to usne jahaz pe bethne se inkaar kiya. Use yeh machine ghair mahfooz dikhayi deti thi. Woh New York se train par beth Washington pohanchi aur use Amrica ke sadarti awards se nawaza gaya. Clinton ka kehna tha ke Ousiola se mulaqat uski zindagi ka naqabil-e-faramosh waqia tha. 1995 mein jab ek uthaarah saal ki larki Stephanie ko pehla Ousiola McCarthy scholarship mila to Ousiola ki nigaahon ki chamak dekhne layak thi. Bachpan se le kar aaj tak uske dil mein yeh kask rahe ke woh taleem hasil nahi kar saki lekin aaj woh kask jaati rahi. Stephanie ko school jate hue dekh kar use yun laga jaise woh khud school ja rahi ho. Stephanie ki muskurahat mein satasi saal ki thakan ne dam tor diya... New York sirf Alexander Hamilton ka nahi, Ousiola McCarthy ka bhi hai. Amrica sirf Wall Street nahi Bill Gates aur Warren Buffet bhi hai. Wujood-e-zan se hai tasveer-e-kaainat mein rang Ousiola se kisi ne poocha tum ne apni jama ponji larkiyon ke liye hi kyun waqf ki. Uske chehre pe muskurahat phelne lagi. "Mardon ki is duniya pe aurton ka bhi haq hai, mein jaanti hoon ke ek aurat ki hesiyat se mujhe kaisi kaisi mushkilat ka samna karna pada. Ghar se nikalte hi yeh ehsaas hojata ke yeh duniya sirf mardon ke liye bani hai. Abhi aurat ko siraattha ke chalne ki ijaazat nahi. Abhi raaste poor khar hain, mein chahti hoon bachiyon bhi ji bhar ke jayen. Unke bhi toh khwab hain." Yeh baatein New York mein rehne wali Ousiola ki thi jo aik taraqqi yafta muashray ka hissa hai. Woh muashra jahan auratein bohat si mushkilat aur rukawatein aboor kar chuki hain. Hamare muashray mein to aurat aur gharibat ka talluq aur bhi gehra hai. Gharibat agar ikhtiyar se mahroomi ka naam hai to aurat se barh kar aur koi gareeb nahi. Jab tak woh waliden ke ghar mein rehti hai to uski qismat ka faisla baap aur bhaiyon ke paas hota hai. Jab woh khawand ke ghar aati hai to yeh ikhtiyar bhi uske khawand ki taraf mannatQul ho jata hai. Bhook aur mehroomi ka sab se zyada shikaar wahi banti hai. Dukh ka atishkade se har roz jala ke raakh karta hai. Agar ghar mein kisi ek shakhs ko bhooka rehna pare, kisi ek ko jahalat ki chita mein jalna pare, kisi ek ko dawa se mehroom hona pare to woh aurat hi hoti hai. Ghareeb hona bohat bara dukh hai lekin ghareeb aurat hona ek naqabil bayan dukh hai. Ikhut ne khawateen ko kamiyabi ki nayi raahon se ashna kiya hai. Chhotay chhotay qarzoon ne unhein badi badi khushiyon ki raah dikhayi hai. In qarzoon ki badolat in ki khud aitimadi bardi, izzat nafs mein izafa hua aur sab se bardi ke ye ke in ka samaji maqam buland hone laga. "Jab se main ne apna karobar shuru kiya hai, main khud ko bohat mahtabar paane lagi hoon. Main ab panch hazaar rupay mahana kamaati hoon. Mere bachay peit bhar ke khana khaate hain. Meri apni chhoti moti zarooriyat bhi poori ho jaati hain. Ab mere khawind ki nigaahon mein shukr ki jhalak nazar aati hai. Mujhe aur meri beti ko ab ghar par bojh nahi samjha jaata. Iss se pehle main khawind ke samne haath barhati to mujhe yun lagta jaise khairat ke liye haath barha rahi hoon. Ab rozmarra ke akhrajat mein khud apni jeb se bhi poore kar sakti hoon." Ye kisi ek aurat ki gawahi nahi, aisi hazaron aurtein hain jo har roz yahi kahani dehrati hain. Agar pachas feesad abadi iss ehsaas ke bojh tale dabi rahe ke zindagi mardon se milne wali bheek ya khairat ka naam hai to kya hum ghurbat ka khatma kar sakenge? Osiyola ki tarjeeh itni bhi ghalat nahi. Doctor Haroon Rashid ke paas ek baar ek shakhs aaya aur eidi de kar khamoshi se palat gaya. Kayi roz baad wahi shakhs Haroon ko kisi aur taqreeb mein nazar aaya to woh us ke paas gaye aur kehne lage janab aap ne eidi to de diya lekin address nahi diya ke hum aap ko rasid bhej sakte. Us ka jawab tha ke professor sahab rasid to mujhe mil chuki hai. Jab main ye eidi de kar wapas ghar pahuncha to ye dekh kar hairan raha gaya ke meri maa jo quwat-e-goyaai se mehroom ho kar kayi mah se bistar par leti thi apne potay potiyon ke darmiyan baithi baatein kar rahi hai. Doctor sahab, us shakhs ne shiddat-e-jazbat se kaha "Iss se badi rasid aur kya hogi ke main ne apni bimar maa ke naam par eidi diya aur ghar pahunchne se pehle maa sehat yaab ho chuki thi."