Misr ke janubi subay Sinai ke seyahati aur sahili shehar ''Dahab'' mein rehnay walay saath saalay Amrici muhajir Mister William aur mojooda naam Abdullah Yousuf se miliye jo aaj se pandrah saal pehle Misr ki seyahat ke liye gaye aur wahi ke ho kar reh gaye. Abdullah Yousuf rozana do ghante laga kar doodh ke saath chawalon mein meetha daal chawal, kishmish, shehad, nariyal, mong phali, tail aur karamail daal kar kheer banata hai. Plastic ki peyalion mein daal kar raat bhar ke liye fridge mein thanda hone ke liye rakh deta hai. Dusre din dopahar ko thandi cheezon ko zyada deer tak mehfooz rakhne walay safri baksay mein tarteeb se rakh kar aas paas kooti hui baraf dalta hai aur apne cycle par lade kar shehar ki sadakon par bechne ke liye nikal khara hota hai. Abdullah Yousuf kehte hain: Mere liye Islam ki ibtida to yahan ''Dahab'' se hui. Aur yeh un dino ki baat hai jab mein seyahat ke liye Dahab ke hotel ''Sion Hyeon'' mein tehra hua tha. Usi hotel mein tehre mere ek purane dost ne mujhe Quran Sharif ka nuskha tafheem diya. Quran parhte hi mere dil par asar hua aur mein ne foran hi Islam qabool kar liya. Mein ne apne ghar walon ko bohot samjhaya ke woh bhi Islam qabool kar ke yahin mere saath Dahab mein hi reh jayein magar woh mujhe chhod kar wapas Amreeca chale gaye. Abdullah Yousuf kehte hain mujhe apna kaam chhodne ka koi qalq aur afsos nahi hai (aap Amreeca mein petroleum ke shobha mein behtareenjinir kaam karte the). Mujhe apne khandan ko wapas chhodne ka sab se zyada afsos hua. Aur yeh meri sab se badi qurbani thi jo mein ne Islam ke liye di. Aisi aurat jis ke saath aap ne zindagi ke ikkees saal guzare hoon, do aisi betiyan jinhein aap ne naz o naim se pal pos kar bara kiya ho aur unhone ab universities mein dakhil hona ho, ko chhodkar ek aise mission ke liye chal padna koi asaan kaam nahi hota. Abdullah Yousuf sahab ab tak Quran Pak ko tarjume ke saath pachas se zyada baar parh chuke hain. Sunnat o hadees ki bay shumar kitabon ka mutala karchuke hain aur Islam ko kayi aimma karam se behtar samajhte hain. Aasani ke liye yeh bhi kaha ja sakta hai Abdullah Yousuf Quran ki kayi gehri baaton ke matalib bhi asani se samajhne walay hain. Islam qabool karne ke baad Abdullah Yousuf sahab umrah ki adayegi ke liye Makkah tashreef le gaye. Unhone wahan par dawat o tabligh se jurnay ke liye kisi bhi qism ki naukri hasil karne ki bohot koshish ki magar nakam rahe. Unhone is kaam ke liye bohot mantain aur trelle kiye magar unhe bataya gaya ke yeh namumkin hai. Abdullah Yousuf is wajah se bohot hi mayoos hue aur tootay dil ke sath wapas Misr mein apni khud banai sultanat Dahab mein aa gaye. Abdullah Yousuf Dahab mein khush o khurram apni zindagi guzarte hain aur apne taen Allah Pak ki bandagi, uske bandon ki khidmat aur diljoi ka kaam karte hain. Note: Dahab shehar ke Facebook page official pages ka mutala karte huye mujhe maloom hua hai ke Abdullah Yousuf sahab ko Masjid Nabvi Sharif mein khidmat ke kisi kaam mein khpaa liya gaya hai jo ke un ki dili arzoo, justuju aur khwahish thi- Facebook par mein ne alwida kheer farosh Abdullah Yousuf, tum Dahab se behtar jagah par tashreef le ja rahe ho ke trend bhi dekhe hain.