BBC ke khilaf mera musalsal likhne ka irada nahi ke yeh bhi ek tarah ki campaign lagti hai, jis se gharaz karna chahiye. Afsos ke is platform par musalsal aisi tehreeren aa rahi hain jo badtareen English ka shahkaar hain, unki nishandahi kiye baghair raha nahi jata. Kisi ko agar seekhna ho ke kaise feature report ke parday mein haqaiq toray moday jate hain aur chand makhsoos logon se baat kar ke ek khaas qisam ka zehreela image banaya jata hai to yeh sab seekhne ke khwahishmand BBC ki yeh story parh sakte hain. Yeh story mandarja zail unwan se shaaye hui hai "Aya Sophia, Ertugrul, Kia Tayyab Erdogan ki Turk Qaumi Parasti ka Hadaf Saltanat Usmaniya ki Bhalai Hai?" Pehle hisse mein Turkey ke khilaf anti-Saudi Arab jazbaat ubharnay ki koshish ki gayi, haqaiq ka bara hissa danista nazar andaz kar ke aisa kiya gaya. Shareef Hussain Af Mecca ka kirdar ka zikr bhi nahi hua, Lawrence of Arabia, angrez agents ki caristani ke liye ek satar bhi istemal nahi ki gayi. Aise hi hai ke Urdu ke huroof tahajji likhe jaen aur j se m tak ke huroof ghaib kar diye jaen. Musannif agle marhale par Aya Sophia par hamla awar hua, danista yeh nahi likha ke kayi sau saal tak yeh masjid rahi, youn tasur diya ke pehle yeh church tha aur phir baad mein Mustafa Kamal ne isay museum bana diya, is se pehle ki tareekh ghaib kar di. Phir yeh tanz farmaya gaya ke Tayyab Erdogan Muslim dunya ki qaaidat chahte hain magar Iraq par amrici hamle ke moqa par woh amriciyo ke sath the, taham parliament ne un ke khilaf faisla diya. Yeh khud haqaiq se inhiraf hai, sach yeh hai ke Turk hakoomat danista is maslay ko parliament mein le gayi take amrici dabao se nikalne ka moqa mile aur parliament se amrici foujon ko raasta dene ka bill namanzoor karaya gaya. Agle marhale par Erdogan par yeh tanz ke is ne yeh kyun kaha ke Turk abadi mein izafah hona chahiye, family planning ke khilaf baat karne ki jurat kyun ki? Yani agar woh chahte hain ke Turk abadi mein izafah ho to is se pehle unhein mazkoor Bharati musannif se manzoori leni chahiye. In sahib ko yeh yaad nahi raha ke kayi Europi mumalik mein ab do se zyada bachay paida karne par hakoomat ya baldiyati idaray ki janib se mali targheebat di jati hain ke shara paidaish zero hochuki hai. Turk hakoomat magar aisa karey to ghalt hai. Ertugrul drame ke khilaf to musannif ka zehar apni urooj par hai, be bunyad kamzor batein, istidlal se aari aur zyadatar hawalon mein Parvez Hood bhai se raaye li gayi. Akhbar parhne wala school college ka koi larka bhi janta hai ke Hood bhai ki raaye kya hogi? Hum ne sahafat ki tamam tareefon mein feature ke bara mein yeh parha ke is mein mukhtalif zawaye kooray jate hain aur mukhtalif mazad aara li jati hain take parhne wale ke zehan mein mukammal tasveer bane. BBC ke is Bharati ya Bharati nasl musannif Rajnish Kumar ko pure Pakistan mein aik bhi aadmi aisa nahi mila jo Ertugrul ke bare mein musbat raaye rakhta ho aur apna nuqta nazar bayan kar sake. Ertugrul par aik bachkana ehteraz yeh ke is mein talwaar se sar udaiye jate hain, to kya ath sau saal pehle pistol se goli mari jati thi? Yeh bhi ehteraz ke har qist mein Masihi laashein pari hoti hain aur ghair mazahib ke logon se jangi hain. To kya tareekh badal di jaye? Kya us zamane mein Masihi temples nahi thay? Mongol hamla awar nahi thay? Turkon ki Masihiyon se jang nahi hui thi? Mongolon se laraiyan nahi hui thi? Is tarah to crusade par banni wali tamam filmon chhupa di jayein, second world war ke hawale se nazi Germany ke khilaf sikon hazaar filmi, drame banaye gaye, kyun? BBC ke editors par hairat hai. Lagta hai idarati shoba khatam kar diya gaya hai ya phir usse funding karne wala mahakma bohot hi ajalat mein hai aur nihayat bhonde andaz mein propaganda karne par majboor kiya jata hai. Jab Bharat ne Doctor Najeeb ko tanha chor diya! Professor Mohammad Mushtaq BBC ki isReport ka unwaan hai: Jab Taliban ne Najeebullah ko maar kar laash khambay se latka diya. Yeh report ghor se parhiye. Yeh report batati hai ke Doctor Najeeb ko us ke qareeb tareen ittehadi Bharat ne kaise tanha chhod diya; kaise woh 1992 mein airport ke qareeb pohanch kar airport mein dakhil hone mein nakam raha kyun ke wahan dostan militia ka qabza hochuka tha; kaise Bharati safir ne us ki madad se haath kheench liya; kaise Ahmed Shah Masood ne bhi usay nikalne mein madad se inkar kiya; kaise Doctor Najeeb ne Pakistan ki janib se panah diye jane ki offer thakrad di aur Iran ko bhi mutakbirana jawab diya; phir kaise woh aqwam mutahidda ke daftaron mein panah lene par majboor hua; phir kaise sirf us ki madad ke liye aqwam mutahidda ke Secretary General Butrus Ghali ne khas dorah kiya lekin nakam hua; phir woh kaise April 1992 se September 1996 tak takreeban sawa char saal aqwam mutahidda ke daftaron mein hi mahsur raha; taankah Taliban ne Kabul fatah karke aqwam mutahidda ke daftaron par dhaawa bol diya aur phir us par tashadud karke aur us ki tazleel karke usay qatal kar diya aur phir laash khambay par latkadiya. Goya nawe fir se report Bharat ki munafiqat ya buzdili ki dastaan hai jis ki wajah se Najeeb Kabul mein phans gaya tha lekin report ko BBC ne unwaan diya hai: Jab Taliban ne Najeebullah ko maar kar laash khambay se latka diya. Yeh bawajood us ke ke report ka aakhri paragraph phir Bharat ki do numberi ka noha hai. Agar yeh unwaan usay report banane wale ne diya hota toh qabil-e-faham hota kyun ke woh bechara khud Bharat mein muqeem hai lekin usay BBC ki idaraati policies ke taur par dekhiye to asal haqeeqat khul kar samne aajati hai. Main is liye yeh report aap ke saath share kar raha hoon ke aap is pehlu par ghor karein. Baqi raha Taliban ka Doctor Najeeb ke saath sulook ka mamla, to jise Doctor Najeeb ki Afghan agency khad mein kirdar yaad ho, ya jis ne bator Afghan sadr us ke aamal dekhe hon, to woh Chengiz aur Hulaku ko bhool jayega aur mujhe aise shakhs se zara bhi hamdardi nahi hai. Main Taliban ke tarz amal ke jawaaz ke liye koi sharai ya qanooni daleel nahi doonga lekin jo is wohshi shakhs ko janta hai, woh janta hai ke us ke saath jo hua woh us se bohat kam tha jo us ne sekaroon, shayad hazaron, logon ke saath kiya. Aur haan, is report mein is wohshi shakhs ki ek tasveer bhi dikhayi gayi hai jis mein usay namaz parhte hue dikhaya gaya hai. Yeh tasveer dekh kar mujhe to badi hansi ai. Doctor Najeeb par nahi, balkay BBC par, ke us ne ek nami grami communist, daehriya aur Khuda ke munkir ki yeh tasveer dikha kar usay baamal Musalman banane ki hamaqat kaise ki? Phir report mein yeh bhi zikr hai ke Taliban ne Doctor Najeeb ka janaza nahi parha! Bhai, woh kyun parhte? Un ke nazdeek to woh khula kafir tha. Yeh bataye ke Ustad Mujaddidi, Professor Rabbani, Commander Ahmed Shah Masood ya Marshal Dostum mein kisi ne us ki namaz-e-janaza parhi? Bohot pehle Anwar Maqsood ke saath ek show mein Maeen Akhtar marhoom ne BBC ko ''bogus, bakwaas, chichori'' kaha tha. Bilkul durust kaha tha.