Is mazmoon ki ahmiyat ke pesh nazar isay shamil isha'at kiya ja raha hai. Idaray ko bawajood koshish ke is ke musannif ka naam maloom nah hoska. Is ke liye hum maazrat khawah hain. Keynes ko duniya ka numaya tareen mahir maiyshat samjha jata hai, is ne investment multiplier ke naam se aik nazriya pesh kiya. Is ka dawa tha ke hukumat ya aam aadmi jab apni jeb se chand rupay nikalta hai to maiyshat ka pehia harakat mein ajata hai. In chand rupayon ka faida pure mashra aur poori maiyshat tak pohanchta hai. Keynes ke is nazriye ko maghribi nazriya "welfare state" ki bunyad banaya gaya. Is nazriye ko samne rakhein to Eid ul Adha bohot bara investment multiplier hai. Jis ki barkat se aik duniya ko faida pohanchta hai. Yeh sarmaya kari ka aisa chakkar hai jis mein sarasar faida ghareeb ka hi hai. Aaiye khaalis business ke tanazur mein iska jaiza lete hain. Eid ul Adha ke mauqe par farming industry tezi se barhti hai. Is ke baad cattle industry ko urooj milta hai. Phir leader industry ka pehia harakat mein ajata hai. Yeh teen industries to barah raast is se mutaharik hoti hain. Is ke ilawah bhi be shumar industries ko is mauqe par faida pohanchta hai. Islami mumalik mein abhi industries ko itna farogh hasil nahin hua. Warna in janwaron ki oon, hadiyon, charbi aur antariyon se aise aise business wujood mein aasakte hain, jin se lakhon afraad ko mazeed rozgar munsar aasakta hai. Yaqeen janiye janwaron ki baqiyat par puri kitaab likhi jasakti hai. In se water proofing, aag sulgane, mom batti banane, sabun aur cosmetics banane se le kar mukhtalif ajza mein hazaron products banai jasakti hain. Magar abhi tawajju nahin di jarahi. Aap ne mashhoor maqoolah suna hoga: "Hamein aid nahin, trade chahiye." Ghareebon ko bhi imdad nahin, baaizzat rozgar chahiye. Qurbani ke janwar kaun palta hai? In janwaron ke charay ka bandobast kaun karta hai? Saal bhar in ki parwarish ka bakheda kaun palta hai? Mantay hain ke ab baray baray karobari groups bhi is business mein aagaye hain, magar dil par hath rakh kar bataye ke ghareebon ki aamdani ka is se bara koi zariya hai? Koi aisa aalami event nahin, jis mein be kas, nadar aur be sahara aur be asra afraad ko itne bare pemaane par rozgar mil raha hai. Hum bare daway se keh sakte hain ke agar Karachi mein 30 arab ke janwar bikte hain to is ka bara hissa ghareebon ki hi jeb mein jata hai. Agar kuch baray karobari groups is business mein aye bhi hain to bhi Pakistan ke toul o arz mein phelay lakhon ghareeb aur pasmanda afraad hi in janwaron ki dekh bhal karte hain. Ek lamhe ko tasawwur ki aankh kholiye. Dekhiye! Qurbani ka ek janwar, poori maiyshat ka pehia ghuma deta hai. Gandum ka ek dana apne sath kam az kam 150 logon ka rozi le kar ugta hai to aik bakra ya bail apne sath sekron afraad ka rozi liye peda hota hai. Thehriye! Baat bohat sadi hai. Jab ek ghareeb bakre ko palta hai to us ka chara khareedne dukan par jata hai. Dukandar woh charah kisi agent se khareedta hai. Agent, kisi kisan se charah hasil karta hai. Janwar beemar hota to doctor ko fees di jati hai. Phir dawa khareedi jati hai. Janwar ko maushi mandi late huay truck malikon ka hissa nikalna shuru hota hai. Phir kiraya par jagah khareedi jati hai. Camp lagaya jata hai, decoration aur chara pani ka intezam kiya jata hai. Rassi, keel kantay aur lakri ki sanat mein halchal mach jati hai. Dekhne walay door o nazdeek se ate hain. In ke ane se dukanain abad, petrol pumps pe rush aur food centers pe khoye se khoye chhilta hai. Sirf mask farokht karne walay bachon ka hi andaza lagaiye. Jab janwar bikta hai to phir tijarat ke is rahmani daire ka babarkat safar urooj par pohanch jata hai. Ek ghareeb khush hal ho jata hai. Suzuki ya mazda walay ko is ka hissa milta hai. Bakra ghar ata hai to bohat se chehron par khushi khilkhilati hai. Chara, dana danka aur khansaman, rizq phailta hi chala jata hai. ab eid ka din aata hai. qasai pahuncha, khaal utri aur biki. poori lider industry is din ki muntazir hoti hai. khaal madarsa aur refahi idara tak pahunchi. wahan se bok kar industry mein pahunchi. sirf eid ke teen dino mein lider industry ko apna 30 feesad khaam maal mil jata hai. gosht kata aur taqseem hua. jis shakhs ko saal bhar gosht naseeb nah hota ho, aaj ke din usko bhi mil jata hai. najane kitne aise log hain jo is mauqe par ghiza se bharpoor gosht ji bhar ke khatay hain. saal ke 360 din woh issi intezar mein guzar dete hain ke agle eid al adha kab aayegi? yeh to barah e raast faida uthane wale afraad hain. warna balo wasata aur wasata dar wasata yeh ek islami tehwar poori dunya ki maishat mein halchal bpa kar deta hai.