Quran Hakeem mein jo masla sab se zyada zair e behas hai woh Allah ka taaruf hai. Baaz maqamat par ek ek ayat mein ek se zyada martaba lekin yeh sara taaruf Allah ki sifat ke hawale se hai. Ek ek sifat ka baar baar zikr kar ke us ke mukhtalif pehluon se roshan kiya gaya hai. Jahan tak Allah ki zat ka taluq hai to us ke baare mein bohot kam bayaanat hain. Ek jagah kaha gaya ke "La tudrikal absaar" aqliyan us ki haqeeqat se roshan nahi ho sakti. Ek aur jagah kaha gaya "laysa kamislihi shai" jaisa koi nahi ho sakta. Sirf ek ayat aisi hai jo Allah ki zat ka taaruf karwati hai. Aur woh Quran ki mushkil tareen ayat hai. Woh hai "Allahu noorus samawati wal ard..." Is ke baad is noor ki maahiyaat bayan karne ke bajaye is ki tamtheel ki taraf rukh mod diya gaya. Ibne Arabi ne ghlaban ishi ayat ki tafseer wahdat ul wujood ke nazariya se ki hai. Hamare door mein quantum physics jo sab se zyada noor, energy waves wagera ko zair e behas lati hai. Ek qadam aage barhate hue kehti hai: Double Slit Experiment agar ek aisi gun ho jo marble ki gend fire kare. Us gun ko ek aisi chadar ke samne rakha jaye jis mein do umoodi daraziyan (slit) hon. Jab gun marble ball fire karegi to woh in dono darazon (slit) mein se guzar peeche deewar par do umoodi linein banayengi. Yeh do umoodi linein yeh zahir karengi ke madi jism rakhne wali ball deewar se takratein rahein hain. Agar usi chadar ko pani mein rakha jaye aur lehren peda ki jayein jo in do darazon (slit) se guzrain. To yeh lehren peeche deewar par mutaddid umoodi linein banayengi. Yeh mutaddid umoodi linein yeh zahir karengi ke ghair madi lehren deewar se takratein rahein hain. Albatta agar yehi tajurba electron par kiya jaye to us ke natayej ka inhisar is amr hota hai ke kya koi shahid mojood hai ya nahi. Scientists ne ek electron gun ko aisi hi chadar ke samne rakha jis mein do daraziyan (slit) thi. Jab us electron gun ne electron fire kiye to use peeche deewar par do umoodi linein banani chahiyein thi. Magar scientists yeh dekh kar heraan rahe ke electron ne bohot si umoodi linein banayi. Yeh is baat ka saboot tha ke electron ghair madi halat mein in dono darazon (slit) se guzar kar deewar se takraaye hain. Scientists ne yeh dekhne ke liye ke electron kis tarah in darazon (slit) se guzarte hain, ek camera laga diya jo electron ko dekh raha tha. Ek ghante baad jab nateeja dekha gaya to woh yeh dekh kar heraan rahe ke ab ki baar peeche deewar par sirf do hi umoodi linein thi. Is se scientists ne yeh natija nikala ke jab koi shahid (insan ya camera) nahi ho to electron ghair madi halat mein rahta hai aur lehron ki tarah amal karta hai. Albatta jab koi shahid ho to phir electron ki yeh ghair madi halat badal jaati hai aur woh madi mein tabdeel hokar ek jism ki tarah amal karta hai. Yaani farq sirf shahid ka hai ke shahid ki ghair mojoodgi mein electron ghair madi halat mein rahega. Jab ke shahid ki mojoodgi mein electron madi halat ikhtiyar kar le ga.