Shayad 2003 ki baat hai bohot tezabiyat hogayi. Har waqt khoraak ki naali mein jalan rehne lagi. Tabkheer, sar dard, tabiyat boojhli. Ghar ke samne family doctor hote thay. Khuda ghareeq rahmat kare, kuch arsa hua abadi ghar sudhar gaye, unke paas gaya. Poocha bohot khaate ho, arz kiya ke harz nahi. Phir poocha karobari mamlaat kharab hain. Arz kiya ji bilkul hain. Kahne lage zehni dabao se meda par asar parta hai, dabao kam lein. Khuda par bharosa karein waghera waghera wahi baatein jo dhaars bandhane ke liye hum bhi logon se karte rehte hain. Sath unhone kuch dawaiyan diin jin mein ek to Omeprazole aur doosri domperidone thi. Is ke ilawa bhi kuch adwiyaat thi magar kuch aafaqa nahi hoa balke marz barhta gaya jo doon doon dawa ki wajah se. Sehat din badin bigarti rahi hafta bhar ke tajurbaat ke baad mein ek bade aspatal ke gastroenterologist ke niji clinic par chala gaya. Bhari fees ada ki unhone kaafi waqt laga kar tamam jaankari hasil ki aur bohot se tests karwane ka hukm farmaya. Sath kuch dawaiyan diin jin mein mandraja bal duno adwiyaat bhi thay. Mein ne jaan liya ke is tareeqa ilaaj mein meda ke amraaz ke liye yeh duno adwiyaat farz hain. Test ke nataij aaye unhone kaha ke aapka jism bilkul theek hai koi bimari nahi bas yeh dawaiyaan jaari rakhein pandrah din baad dikhayein. Pandrah din to door ki baat hafta bhar mein halat yeh hogayi ke aadha cup doodh bhi peeta to is qadar jalan hoti ke khuda ki panah saath hi peeli rang ki kadwi si qay aati jaise saara doodh tezab mein tabdeel hogaya ho. Mera meda hafta bhar mazeed unke tajurbaat ka takhta mashq bana raha yahan tak ke kamzori se bura haal hogaya. Aik dost taimardari ke liye aaye. Kahne lage bhai jo ilaaj kar rahe ho karte raho sath mein ek desi totka karlo. Haldi, saunf aur methi sabut hum wazan lekar ise pees kar safoof banaalo. Din mein teen baar ek chaye ka chamach paani ke saath lete raho. Mein ne hasb-e-aadat teenon ashya ki chemical tarkib, ghizaai ajza aur fawaid ka mutalia kiya. Mujhe laga ke yeh bohot hi faidah mand ameza hai so mein ne shuru kardiya. Pehle roz laga ke khoraak zyada hai pyaas bohot lagi to dawa ki miqdaar kam ki phir teen chaar din mein waapas ek chamach din mein teen baar tak aaya. Hafta bhar mein Allah ke fazl o karam se khana khana shuru hogaya aur baqi sab adwiyaat chhod dein. Jis dost ne mashwara diya tha us se rabita kiya. Usne kaha teen mah kha lein is ka koi nuqsaan nahi hai. Mein ne musalsal teen mah ek chaye ka chamach har khane ke ek ghanta baad is ka course poora kiya. Tezabiyat to kab ki khatam hogayi thi. Jism bohot chak wachoband halka mehsoos hua. Range badal gayi. Khansi ki bohot shikayat rehti thi balkay bahane talash karti thi is ke baad teen chaar saal tak khansi paas nahi phatki. Aankhon ki beenai behtar hui. 25. Ainak ka number kam karwana pada. Yeh ameza aaj bhi hamare sab gharon mein hamesha mojood rehta hai. Ek general body tonic aur immunity booster bhi hai. Bohot duain is Allah ke bande ko diin aur ek sabaq seekha. Nizam-e-ihzaam ki behtareen bimariyon ke liye hatt-e-ilmakaan elopathic se door raha jaye. Is ke ilawa khansi, bukhar, zukam aur aisi choti moti bimariyon ke liye jahan tak hosake qudrati cheezon se ilaaj kiya jaye. Tali aur tez masale wali khoraak se ijtinaab barhta jaye takay sehat mand zindagi basar ki jasake. Aap bhi amal kar sakte hain. ***