1- Khana Sab se zyada bimariyan galay huye khanay se hoti hain, galay huye khanay aur pukay huye khanay mein farq hai, (jese ek saib paka hua hota hai, aur ek gala hua, Gala hua saib aap aram se chamach ke sath bhi kha sakte hain, aur use chabana bhi nahi padega) Mitti ke bartan mein khana aahista aahista pakti hai, is ke baraks silver, steel, pressure cooker ya non-stick mein khana galta hai, pakti nahi. To sab se pehle apne bartan badlein, yaqeen janiye! Jin logon ne bartan badal liye, unki zindagi badal jayegi. 2- Cooking oil Cooking oil woh istemal karein, jo kabhi nahi jamay, duniya ka sab se behtareen tail jo jamta nahi, woh zaitoon ka tail hai, lekin yeh mehnga hai. Hamare jaise ghareeb logon ke liye sarson ka tail hai, yeh bhi jamta nahi, sarson ka tail wahi tail hai, jo sari umar nahi jamta, aur agar jam jaye to sarson nahi hai. Hatheli par sarson jamane wali baat bhi isi liye ki jati hai, kyun ke yeh mumkin nahi hai. Sarson ke tail ki ek khubi yeh bhi hai ke is ke andar jis cheez ko bhi daal denge, us ko jamne nahi deta, is ki zinda misal achar hai, jo achar sarson ke tail ke andar rehta hai, us ko jala nahi lagta aur in sha Allah jab yeh sarson ka tail aap ke jism ke andar jaye ga to aap ko kabhi bhi falij, mirgi ya dil ka dora nahi hoga. Aap ke gurde fail nahi honge. Puri zindagi aap blood pressure se mehfuz rahenge, (in sha Allah) Kyunke? Sarson ka tail naliyon ko saaf karta hai, jab naliyan saaf ho jayengi to dil ko zor nahi lagana padega. Sarson ke tail ke fayde hi fayde hain. Hamare dehaaton mein jab janwar bimar hote the to buzurg kehte the ke un ko sarson ka tail pilayein. Aaj hum sab ko bhi sarson ke tail ki zaroorat hai. 3- Namak (namak badlein) Namak hota kya hai? Namak insaan ka kirdar banata hai, hum kehte hain banda bada namak halal hai, ya phir banda bada namak haram hai, namak insaan ke kirdar ki tamer karta hai. Hamein namak woh lena chahiye jo mitti se aya ho, aur woh namak aaj bhi puri duniya mein behtareen Pakistani khayrati ka gulabi namak hai. Pink Himalayan namak 25 dollar ka 90 gram yaani 4000 rupay ka 90 gram aur chalis hazaar rupay ka 900 gram bikta hai, aur hamare yahan das se bees rupay kilo hai. Badqismati dekhein! Hum ghar mein Ayodin mila namak late hain, jis namak ne hamara kirdar banana tha, woh hum ne khana chor diya. Is liye meri aap se guzarish hai ke hamesha pathar wala namak istemal karein. 4- Meetha Hum sab ke dimagh ko chalanay ke liye meetha chahiye, aur meetha Allah Kareem ne mitti mein rakha hai, yaani gur aur gud, aur hum ne gur chor kar cheeni khana shuru kar diya. Khuda ra gud istemal karein. 5- Pani Insaan ke liye sab se zaroori cheez pani hai, jis ke baghair insaan ka zinda rehna mumkin nahi. Pani bhi hamein mitti se nikla hua hi peena chahiye. Puri duniya mein ab-e-zam zam sab se behtareen pani hai, aur is ke baad Punjab ka pani hai, is ke baad mitti se nikalne wali gandum istemal karein, lekin gandum ko kabhi bhi chaan kar istemal na karein, gandum jis halat mein aati hai, usay waise hi istemal karein, Yaani sooji, maida aur chaan waghaira nikale baghair kyunke! Humare Aqa Kareem Hazrat Muhammad (SAW) baghair chaane aata khate the, to phir tay ye hua ke hamein ye paanch kaam karne chahiye, 1- Mitti ke bartan 2- Sarson ka tail 3- Gur 4- Pathar wala namak 5- Zameen ke andar wala pani Mitti ke bartan mein rak kar, mitti ke glass mein peeye, aur in sari cheezon ke sath gandum ka aata. Ab sawal ye paida hota hai ke hum ye sari cheezein kyun lein? Ye sari cheezein hum ne isi liye leni hain ke is mein sehat hai, aur Allah Pak ne hamein mitti se paida kiya hai. Aur hum ne wapas bhi mitti mein hi jana hai.