Ek Aalim-e-deen se ek nojawan shakhs ne shikayat ki ke mere walidain adheer umar hain aur aksar wo mujhse khafa rehte hain, halankay mein unko har woh cheez mehia karta hoon jis ka wo mutalba karte hain. Aalim-e-deen ne nojawan shakhs ko sar se paon tak dekha aur farmaya ke beta yehi to unki narazgi ka sabab hai ke jo wo mangte hain tum unko la kar dete ho. Nojawan kehne laga ke mein aap ki baat nahi samajh paya tha, thori si wazahat kar dein. Aalim-e-deen farmaye: Beta kabhi tumne ghaur kiya hai ke jab tum duniya mein nahi aaye the to tumhare aane se pehle hi tumhare walidain ne tumhare liye har cheez tayar kar rakhi thi, tumhare liye kapray, tumhari khurak ka intizam, tumhari hifazat ka intizam, tumhein sardi na lage agar garmi hai to garmi na lage. Tumhare aaram ka bandobast, tumhari qazaye hajat tak ka intizam tumhare walidain ne tumhare duniya mein aane se pehle hi kar rakha tha, phir agey chalo. Kya tumhare walidain ne kabhi tumse poocha tha ke beta tum ko school mein dakhil karwayein ya nahi? Isi tarah college ya university mein dakhlay ke liye tumse kabhi poocha tha, balkay tumhare behtar mustaqbil ke liye tumse pehle hi school aur college mein dakhlay ka bandobast kar diya hoga. Isi tarah tumhari pehli naukri ke liye tumhare school ki transport ke liye tumhare uniform ke liye tumhare walid sahab ne kabhi tumse nahi poocha hoga balkay apni istataat ke mutabiq behtar se behtar cheez tumhare mangne se pehle hi tumhein la kar di hogi. Tumhein to shayad uska bhi ehsaas na ho ke jab tum ne jawani mein qadam rakha tha to tumhare walidain ne tumhare liye ek achi larki bhi dhoondni shuru kar di hogi jo achi tarah tumhari khidmat kar sake aur tumhara khayal rakhe. Larki talash karte hue bhi unki pehli tarjeeh tumhara aaram hi hoga. Balkay unke to zehan mein kabhi yeh khayal bhi nahi aya hoga ke hum aisi dulhan betay ke liye laayein jo hamari khidmat kare. Tumhare liye kapray, tumhari pehli cycle, tumhara pehla motor cycle, tumhara pehla school. Tumhare khilonay, tumhari boli chal. Tumhari tarbiyat, tumhara rehan sehan, chal chalan, rang dhango, guftagu ka andaz, han tak ke tumhare munh se nikalne wala pehla lafz tak tum ko tumhare maan baap ne muft mein sikha diya hai aur tumhare mutalba ke baghair sikha diya hai aur aaj tum kehte ho ke jo kuch wo mujhse mangte hain mein unko la kar deta hoon is ke bawajood wo khafa rehte hain. Jao walidain ko bina mangay dena shuru karo. Unki zarooriyat ka khayal apne bachon ki zarooriyat ki tarah karna shuru karo. Agar unki mali madad nahi kar sakte to unko apna qeemti waqt do, unki khidmat karo. Ghar ki zimmedariyaan khud le lo. Jaise apne bachon ke baap bane ho waise hi apne walidain ki neik aulad bano. Aur unko bina mangay dena shuru karo. Apne aap ko is qabil bana lo ke unko tum se mangne ki ya mutalba ki zaroorat hi na pare ya unko kabhi tumhari kami mehsoos hi na ho. Kam se kam itna waqt to unko ata kardo, unke masail poocho. Agar unki mali madad nahi kar sakte to unki jismani khidmat karo. Kya kabhi maan ya baap ke paon ki phati hui aediyan dekhi hain tumne? Kya kabhi un phati hui aediyan mein koi cream ya tail lagaya hai jaise wo tum ko chotay hote lagate the? Kya kabhi maan ya baap ke sir mein tail lagaya hai kyunke jab tum bachay the to wo baqaida tumhare sir mein tail laga kar kanghi bhi karte the. Tumhari maan tumhare baal sanwarti thi, kabhi maan ke baal sanwar kar to dekho. Kya kabhi baap ke paon dabaaye hain halankay tumhare baap ne tumhein bohot bar dabaaya hoga. Kya kabhi maan ya baap ke liye haath mein paani ya toliya le kar khade ho jaise wo tumhara munh bachpan mein neem garam paani se dhoya karte the. Kuch karo to sahi, unko bina mangay la kar do, unki zimmedariyan utha kar dekho. Unko waqt de kar dekho, unki khidmat kar ke dekho, unko apne sath rakho hamesha. Unko apne par bojh mat samjho, neemat samajh kar dekho. Jis tarah unhone tum ko bojh nahi samjha aur baghair kisi muaavza ke tumhari din raat parwarish kar ke muaashray ka ek kamiyab insaan banaya hai. Kam se kamN ki hui khidmat ka sila samajhte hue hi un se husn sulook ka rawiya ikhtiyar karo. Phir dekhna woh bhi khush aur Allah bhi khush. Aalam-e-deen ki yeh batain sun kar nojawan ashk baar hogaya aur baqi ke hazreen ki ankhain bhi nam hogayi. ***