Tab ka talluq tajribi ilm se hai. Rasool Allah صلی اللہ علیہ والہ وسلم apne zamane ke maroof tibi mualijat ko istemal karte thay. Aap par nazil hone wali kitab, kitab hidayat hai, kitab tib nahi. Agar aap ne kisi bimari ke liye sana makki, kalonji aur is noyati ki koi aur dawa istemal ki to is ki wajah Arab samaj mein is dawai ke istemal ka chalan tha. Yaqeenan is ke peechay sadiyon ke insani tajurbaat thay lekin in ka talluq wahi se nahi tha. Sab se pehle yeh baat zehen mein rahe ke Nabi Akram صلی اللہ علیہ و سلم ko bator hadi mab'oos kiya gaya tha bator tabeeb aur doctor nahi. Sehat ke hawale se jin umoor ki bohot ahmiyat thi aap ne unhe bator shareeat mutarif karwa diya maslan azaaye wazu ka dhona, yaghisl karna badan aur libaas ko najasat se pak rakhna wagaira digar umoor mein aap apne dor ke tajurbaat ko zair istemal late thay. Is dor mein high blood pressure ka ilaj hijamah se kiya jata tha aap ne isi ko istemal farmaya, kisi doosre ko bhi bataya hoga to mutadawl ilaj ke taur par nahi ke paighambarana hesiyat se. Tajribi science ke baray mein aap ka irshad Antum aalam bi amoor dunya kam: Tum apne duniawi amoor mujh se behtar jante ho. Ek abadi haqeeqat aur tajribi ilm mein taraqqi ki mahemiz hai hijamah mein logon ko be waqoof banaya jata hai ke khoon ganda ho jata hai aur hijamah se ganda khoon nikal jata hai halankay tabi tor par yeh mazeh ghalat hai, agar khoon mein koi aisi cheez hai jo muzar hai to woh sare khoon mein hogi. Ek jagah kap laga kar wahan khoon rok kar usay oxygen se mahroom kar diya jata hai nateejatan woh gadha aur siyah ho jata hai aur chand ahmaq apne aise be waqoofon ko bawoor karte hain ke yeh dekho, ganda khoon. Kisi ka khoon ka dabao barh jaye to blood bank mein jakar khoon atiya kar den, jis se kisi ko zindagi mil sakti hai. Haan agar tajribi tab hijamah ko kisi bimari ka ilaj qarar deti hai to usay tabi tahaqiq ke tor par farokht karein sunnat ka naam na bechein. Kya koi bata sakta hai ke Islami shehad kaun sa shehad hota hai aur ghair Islami kaun sa? Kya yeh Islami ke naam ko farokht karne ka ghinauna jurm nahi hai. Corona ek flu hai. Fitri tor par garam asarat rakhne wali adwiya kalonji, adrak, sana makki aur bhap lena is mein mufeed hai lekin jis tarah you ke ek PHD doctor sana makki ko promote kar rahe thay aur corona ke ek Pakistani mareez apni video mein in tajurbaat ko ghalat qarar de rahe thay us sare bayan ko tajurbaat ke tor par qabool kiya ja sakta hai lekin kisi bhi ilaj ko nabvi sanad de kar pesh karna logon ke eman ko azmaish mein dalna hai. Is amal ka afsos nak pehlu yeh hai ke hum ne Rasool Allah صلی اللہ علیہ و سلم se mansoob har cheez ko jins bazaar bana diya hai. Niz jab is dor ke kuch mualijat ko tib nabvi ke tor par muqaddas qarar de kar juz iman banaya gaya aur medical science ne isay ghalat qarar de diya to kya aap ke dor ke tabi maamulat ko durust manna eman ka talaaza hoga? Is tarah hum ek hadi aur share ko tabeeb ki maamuli satah par la kar tauheen ke murtakib nahi honge? Kya miyar eman ki nai ta'beer nahi karna paregi? Log tib se mutaliq ahadith yun bayan karte hain jaise Allah ne aap ﷺ ko hadi ke bajaye bator tabeeb mab'oos kiya ho. Tibi aur tajurbaati ahadith bayan karna hargiz danishmandi nahi hai kyunke in umoor ka talluq tajurbaat, mizaj aur mosam ke ikhtilaf neyz bemari ki noyati wagaira be shumar umoor se hota hai aur agar kisi aisi dawa se jo hum ne kisi ko tib nabvi ki roshni mein batayi ho, kisi ko nuqsaan ho jaye to is ka sadaqat nabvi par se eman mutazalzal ho jaye ga aur hum is ka sabab banenge. Is silsile ki sab se bari sadaqat yeh irshad nabvi hai yeh duniawi amoor hain aur tum khud unhe behtar jante ho antum aalam ba amoor dunya kam.