Naat mein kaise kahoon un ki raza se pehle Mere mathay pe paseena hai sana se pehle Noor ka naam nah tha aalam-e-imkaan mein kahin Jalwah-e-Sahib Lulak Lama se pehle Un ka dar woh dar-e-daulat hai jahan shaam o sehar Bheek milti hai faqiron ko sada se pehle Ab yeh aalam hai ke daaman ka sanbhalna hai mushkil Kuch bhi daaman mein nah tha un ki ataa se pehle Tum nahi jaante shayad mere aqa ka mizaaj Un ke qadmon se lipat jao saza se pehle Chashm-e-rehmat se mila ashk-e-nadamat ka jawab Mushkil aasaan hui qasad dua se pehle Meri aankhen mera rasta jo na rokein aqbal Main Madine mein milun raah numa se pehle