Main jab apne gaon se bahar nikla tha Har raste ne mera rasta roka tha Mujh ko yaad hai jab iss ghar mein aag lagi Upar se badal ka tukra guzra tha Shaam hui aur suraj ne ek hichki li Bas phir kya tha, kosoon tak sunaata tha Iss ne aksar chand chamakti raaton mein Mere kandhe par sar rakh kar socha tha Maine apne sare aansu bakhsh diye Bachay ne to ek hi paisa manga tha Sheher mein aakar parhne wale bhool gaye Kis ki maa ne kitna zevar becha tha Logon ne jis waqt sitare bant liye Aslam ek jugnoo ke peechay bhaga tha