Sabiq Bartanwi wazeer-e-aazam Tony Blair ki saali Lorraine Booth ka qabool-e-Islam naya nahi magar unki zindagi ki puri kahani ek nayi baat zaroor hai. Unhon ne pehli baar apni zindagi ki kahani khul kar sunayi hai jo Kuwait ke maahnama Al-Misbah ne shaaya ki hai aur unke shukriya ke sath hum aap ki khidmat mein pesh kar rahe hain. Idara ‘‘Main Islam qabool karne ke liye hargiz sargarm nahi thi, na hi main Islam ka mutala kar rahi thi, baat darasal yeh hai ke jab aap ek musalman muaashray mein musalmano ke darmiyan reh kar aik taweel arse se kaam kar rahe hoon to la mahala, un se rozmarra ki guftagu ke doran un ke deen aur Quran ke mutalliq kuch na kuch maloomat hasil hoti hi rehti hain, main yeh samajhti hoon ke main ne ittefaqan musalmano ke sath rehte hue thora bahut Quran ke bare mein jana, is doran yeh bhi andaza hua ke agar aap ne Islam mein dilchaspi lete hue uske bare mein janne ki khwahish zahir ki to musalman ummah ki tamam tar mohabbat, yagangat aur khuloos ko aap yaqeenan mehsoos kiye bina na rah sakenge’’. Sab se pehli baat to yeh hai ke main ne Islam, musalmano ki mohabbat aur dosti mein qabool nahi kiya balkay jin haalaat mein main musalmano ke darmiyan reh kar aik taweel muddat tak kaam karti rahi hoon us doran na jane kis waqt mera Allah se rabt qaaim ho gaya, main ne Allah ko zyada se zyada janne ki koshish ki aur ab main umeed karti hoon ke main apni is koshish mein kisi had tak kamiyab ho sakti hoon. Islam ki janib yeh safar meri zindagi ka nihayat khushgawar safar hai, mujhe nahi pata ke main kab is raah ki musafir bani, haalaat saazgar hain aur saathi musafir garmjosh, is safar mein main musalsal aage barhti hoon aur waqt ki garam aandhi aur raah ki tamam rukawaton ke bawajood Islam ke raste par mera yeh safar tezi se gamzan hai. Agar mujh se yeh sawal poocha jaye ke aik Angraiz sahafi, aik tanha do bachon ki maa ne Maghribi media ke sab se napasandida mazhab ko kis tarah qabool kiya to is ka jawab mein apne is intehai roohani tajurbe ka hawala zaroor dena chahungi jo mujhe Iran ki aik masjid mein howa jis ne mere dil ki duniya badal di, magar Islam qabool karne ke hawale se agar mazi mein jhanka jaye to uski bunyad ghaliban is waqt par gayi thi jab main January 2005 mein akele Filasteeni ilaqe West Bank (Maghribi kinara) mein Bartani akhbar 'The Mail' ki pe liye Filasteeni sadarti intikhabat ki coverage ke liye pohanchi thi, yahan main yeh baat wazeh kar doon ke apne is safar se pehle mujhe kabhi bhi musalmano ya Arabon ke sath rehne ka ittefaq nahi hua tha. Jab main ne apna mashriqi wasati ka yeh safar shuru kiya tha to mera zehan Maghribi media ke is propaganda ki wajah se sakht makhdosh tha jo ne duniya ke is hisse ke logon ke bare mein jo Muhammad (S.A.W) ke mante thay jaari rakha tha aur unhe bunyadi parast, mutasib, mazhabi intiha pasand, khudkash hamla aawar, a ghawaa kar aawar jihadi qarar diya jata tha jabke mera yeh tajurba un tamam tasawwurat ke bilkul baraks sabit hua. Main Filasteeni Maghribi kinare ke ilaqe mein is haal mein dakhil hui thi ke mere jism par mera coat bhi nahi tha kyunke Tel Aviv ke hawai adday par Israeli hukkam ne mera suit apne qabze mein le liya tha, aur main ‘Ramallah’ (Ramlah) ke markazi ilaqe mein shadeed sardi se thartharti hui chali ja rahi thi ke yaka yak aik boodi Filasteeni khatoon ne mera haath thaam liya, tezi se arabi zaban mein kuch bar barate hue woh mujhe malhaka gali mein waqe aik ghar mein le gayi, sab se pehle mere zehan mein jis khauf ne janam liya woh yeh tha ke kya main aik boodi aurat ke hathonAghwa hogayi hoon kayi minute tak mein khamoshi se use apni beti ke kamray mein mojood kapron ki almari se kuch dhoondte hue dekhti rahi, baal aakhir usne almari se ek coat, ek hijab aur ek topi nikali aur mujhe dekar dobara usi gali mein chhod diya jahan se woh mujhe apne ghar le gayi thi. Mere sar par garmjoshi se boosa diya, aur apni raah holi. Hairat ki baat yeh hai ke is sare amal ke doran hamare darmiyan ek lafz ka bhi tabadla na hua. Yeh sakhaawat aur fayazi ki ek zinda misaal thi jise mein kabhi na bhool paongi aur jiska mujhe us ke baad wahan rehte hue kayi mauqon par baarha tajurba hua. Haqeeqat yeh hai ke hamari amli zindagi mein ruhani garmjoshi ka aisa mazhar shaz o nadir hi dekhne mein aata hai. Is safar ke baad aane walay teen barson mein mera maqboozah ilaqon mein mutaddid baar jane ka ittefaq hua. Ibtida mein mera wahan apne sahafati amoor ki anjaam dehi ke silsile mein jana hota raha magar jaise jaise waqt guzarta gaya mera wahan ke safar ki noa'iti mein tabdeeli aati gayi aur phir mein ne Falasteeni awaam ke sath izhar-e-yakjehti karne aur unke liye imdadi kaam karne wale groupon ke sath maqbooza Falasteeni ilaqon mein ana jana shuru kardiya. Is doran mein ne wahan har mazhab aur aqeede ke hamil Falasteenion ki badhaali aur takaleef ko khuli aankhon se dekha aur dil se mehsoos kiya. Yahan mein ne yeh bhi dekha ke un Falasteeni musalmanon ke sath sath Aisai aqeede ke log bhi jo taqreeban do hazaar baras se Arz-e-Muqaddas par reh rahe hain woh bhi musalmanon ki tarah Israeli jarehiti ka shikaar hain. Wahan ate jaate aur Falasteeni musalmanon ke darmiyan rehte hue un inshallah, mashallah aur alhamdulillah jaise kalimat meri zuban ka hissa bante rahe jo Falasteeni musalman apne rozmarra ki guftagu mein shukr, tareef aur ummed ke tor par istemal karte the. Is sarzameen ke logon ke hawale se maghribi media ne jo khofnak tasur maghrib ke logon ke azahan mein peda kardiya hai aur jiska dehshatnak tasawwur le kar mein pehli baar is khitay mein ayi thi ab itna arsa un logon mein rehne ke baad woh tasur yaksar ghayab hogaya tha. Ab mein baghair kisi khof o taraddud ke mukhtalif musalman groupon se milne lagi thi aur is tarah is sarzameen ke zehin, aqalmand aur sab se barh kar meharban aur fayazi logon ke darmiyan mujhe rehne aur unhe samajhne ka moqa mila. Falasteen ki musalman khawateen Islam se meri khas lagn aur pasandidgi ka sabab bani, aap andaza karein ke sar se pair tak burqa mein malfoof khawateen ko ek Angrez aurat ne kis nazar se dekha hoga. Iske baraks yeorop mein pesha war khawateen apni khubsoorati aur zahiri wazeh qata ki zyada se zyada numayish mein khushi mehsoos karti hain aur wahan aisa karna rozmarra ke mamoolat mein shamil hai, bilkul mayub nahi samjha jata. Jab kabhi mujhe kisi program ko nashar karne ke liye television station par dawat diya jata tha to mein yeh dekh kar hairan ho jati thi ke khawateen mizban pandrah minute ke doraniye ke sanjeeda noait ke program pesh karne se pehle ghanta bhar tak balon ki tazeen aur araish aur makeup par sirf kya karti thin. Kya issi ka naam azadi hai? Mein sochti hoon ke is azad maghribi muashre mein ladkiyon aur khawateen ko kitna haqiqi ihtaram diya jata hai. 2007 mein mujhe Lubnan jane ka ittefaq hua, mein ne wahan chaar din university ki talibat ke sath guzare jo sab ki sab hijab pehni hui thin aur jin ke sar ke bal tak nazar nahi aate the. Woh khubsoorat, khudmukhtar aur saaf gothi thi. Aur qata'a aisi darpoak aur buzdil nahi lag rahi thin ke koi zabardasti unki marzi ke khilaf unhe pakar kar unki shadi kar deta jaisa ke mere zehan mein tasawur tha jo mein ne maghrib ke akhbaron mein parh kar qaaim kiya tha. Jitna zyada waqt mein mashriq-e-wasti mein guzarrahi thi itni hi zyada tabdeeli mein apne andar mehsoos kar rahi thi, main unhe khud ko masjid mein le jane ke liye kehti, apne aap ko main yeh keh kar mutmain kar leti ke main safar kar rahi hoon magar dar haqeeqat masajid mujhe be had dilkash lagti thi, majsmon se paak aur khubsurat ghalichon se arasta. log mujh se poochte hain ke main ne ab tak kitna quran parha hai aur main yeh kehti hoon ke main ne ab tak sirf sau safahat ka tarjuma mutalia kiya hai magar is se pehle ke meri is baat ko koi tanzia nazron se dekhe main sirf yeh guzrash karna chahti hoon ke is azeem kitaab ki ek waqt me das lainain parhna chahiye, mukammal tadabur ke sath. is tarah ke jo kuch aap parh rahe hain us ko achi tarah samajh bhi rahe hain aur agar mumkin ho to in das lainon ko zabani yaad bhi kar lena chahiye. kehne ka maqsad yeh hai ke is quran ko allah ki nazil ki hui kitab-e-hidayat samajh kar parhna chahiye nah ke koi risala samajh kar. main inshallah arabi zaban bhi seekhne ki koshish karongi magar is mein khaas waqt lagega. islam ki taleemat se waqif hone ke liye bohot zyada mutalia ki zarurat parti hai, shumali london ki chand masajid se mera rabita hai aur umeed krti hoon ke kam az kam hafta mein ek baar wahan jaya karon. itidal pasand un labas ka intikhab itna mushkil mamla nahi hai jitna samjha jata hai. hijab pehnne ka matlab yeh hai ke ab aap bahar pehle se bhi zyada kam waqt mein jasakte hain kyunke hijab ki wajah se aap ko bohot sara waqt balon ki araish mein zaya nahi karna parega. chand haftay pehle jab main ne pehli baar apne sar par hijab bandha to mujhe bohot sharm si mehsoos hui thi. chunkay in dino sardi ka mosam tha to mera hijab pehenna kisi ne mehsoos nahi kiya albata garmi ke mosam mein hijab pehn kar nikalna aik challenge hai, magar britania aik rawadari mulk hai aur ab tak mujhe kisi ne haqarat ki nazron se nahi dekha, hijab ke sath niqab mein apne liye zaroori nahi samjhti magar burqa mujhe zyada mozuun mehsoos hota hai. islam qabool karne ke baad media mein rad-e-amal ke hawale se unhone kaha ke zahir hai mere is amal se unhein mouqa haath aya aur buhtan aur dushmani tarzi ka silsila shuru hua magar haqeeqatan un ka maqsad meri zat nahi thi balkay islam ka ghalat tasawur jo unhone apne zehnon mein qaaim kar liya hai darasal wahi soch is sare qissay ke peechay kaarfarma thi, magar main ne zyada tar manfi tabeer nazr andaz kardiye kyunke kuch log rohaniyat ke ma'ani se naashna hote hain aur is mozu par unke sath kisi qisam ka behas o mubahisa unhein mazeed khofzadah kardeta hai. mere islam qabool karne ke elaan ke baad ek mashwara mujhe acha laga aur main ne is par amal bhi kiya ke main aise mawad ka mutalia na karoon jo nagawar khatir guzarein, na hi blogs mein mojood manfi tabeeron par kaan dharon. is tarah main ne bohot si tasawurat aur nakhooshgawar batoon ki taraf mutlaq dhyan na diya balke apni tamam tawajju is baat par mabzool kar li hai ke musalma ummah ke sath zyada se zyada pyar aur talluq ko mazboot o marboot kiya jaye. apne peshe ke hawale se tashweesh zahir karte hue unka sawal yeh tha ke kya hijab pehn kar woh apni mojooda position barqarar rakhne mein kamiyab hosakti hain. mujhe ilm hai ke bohot sari musalma khawateen ne television aur sahafat ke maidan mein numaya kamiyabiyan hasil ki hain aur mustaqil mizaji ke sath shaista maghribi libas pehenti hain, main abhi islam mein nayi nayi dakhil hui hoon aur islam ke bunyadi asoolon se waqfiyat hasil kar rahi hoon, islam se mere talluqat ki noait.Alag qisam ki hai. Mera qata'iya nazarriya nahi hai ke Islam ke baaz asool to mein apna loon aur baaz ko nazar andaz kar doon balkay mein Islam ko mukammal tor par apne andar samoo leena chahti hoon. Mustaqbil ke hawale se bhi ghair yaqeeni halaat ka shikar hoon, mein rozana hi kuch na kuch apne andar tabdeeli aur ek nayapan mehsoos karti hoon aur sochti hoon ke yeh silsila kahan jaakar ruke ga. Apne muasharti talluqat ka zikr karte hue unka kehna hai ke mein is hawale se apne aap ko nihayat khush qismat samajhti hoon ke mera Islam qubool karna mere ahem tarin rishton par kisi tarah bhi asar andaz nahi hua hai. Mere is faislay se mere ghair Muslim dostoon ka rad-e-amal tajassusan tha, na ke mukhalifana aur maanadana. Woh mujh se poochte hain ke kya tum badal jao gi? Kya hamari dosti barqarar reh sakti hai aur kya hum ab bhi sharab noshi ke liye ja saken ge? Unke pehle do sawalon ka jawab to mere paas saboot mein hai magar teesre sawal ka jawab qata'an inkaar mein. Jahan tak meri waleda ka talluq hai to woh meri khushi mein khush hain. Mere liye yeh munasib waqt nahi hai ke mein kisi mard se talluqat ke bare mein sochon, meri azdawaji zindagi inhitat ka shikar hai aur yeh talaq par muntaj ho rahi hai, kisi munasib waqt par agar mein ne dobara shadi ke bare mein socha to woh Islami asoolon ke mutabiq hogi aur mera hone wala shauhar yaqeenan ek musalman hoga. Yeh thi Britain ki is khatoon ke Islam qubool karne ke hawale se baat cheet. Aaiye hum sab milkar Allah ke huzoor dua karein keh woh is non-Muslim behan ko Islam par sabit qadam rakhe aur halaat ki sakhtiyon aur badsamoome ke mukhalif jhonke un ke paiye istiqlal mein jumbish paida na kar sakein balkay unke azm aur hoslay roz afzon jawan aur himmat buland se buland hoti jaaye aur yeh deen ki dai o zabardast mujahida bane aur khasosan Britain mein Islam aur musalmanon ko un ki wajah se taqat mile. Ameen sum ameen. **********