duniya aur aakhirat mein tawazun Yeh duniya asal mein aane wali mustaqil duniya ki tameed hai. Quran is haqeeqat se khbar daar karta hai ke yeh duniya jaza o saza ki duniya nahi hai balkay amal karne ki jagah hai. Aamal ki keemat milne ki jagah aakhirat hai. Har wo shakhs jo is duniya mein sachai aur haq ka talib raha hoga usay aakhirat mein kamiyabi naseeb hogi aur har wo shakhs jis ne haq se munh mor kar zindagi basar ki hogi, aakhirat mein us ke hissay mein nakami aaye gi. Aur Quran ki nazar mein haqeeqi kamiyabi yeh hai ke insaan ko aakhirat mein jahannam se bacha kar jannat mein daakhil kar diya jaye. (Faman zahzaha 'an an-naar wa adkhil al-jannah faqad faz) Islam apne pairokaroon se yeh chahta hai ke woh is duniya mein bharpoor zindagi basar karein aur is duniya ki behtari ke liye jo kuch kar sakte hain karein lekin aakhirat ko madnazar rakhte hue. Yani duniya ki behtari aakhirat ke nuksan par nahi honi chahiye. Insaan ko apni tarjeehat mein aakhirat ko sarfarast rakha chahiye aur har wo amal, har wo kaam jo aakhirat ke nuksan ka baa'is ho us se mukammal ijtinaab karein. In ke ilawah kisi amal aur kisi kaam ke karne mein koi harj nahi. Insaan chahe engineer bane, chahe doctor, woh chahe scientist bane aur chahe qanoon daan, Islam us se bilkul manaa nahi karta balkay hosla afzai karta hai lekin isi shart ke saath ke koi bhi kaam haqeeqi zindagi ke liye nuksan aur khasare ka mojab na ho. Islam insani mein agay barhne aur taraqqi karne ke jazbay ko khatm nahi karta sirf us ka rukh moorhta hai ke yeh jazbay aakhirat ki behtari aur taraqqi ke liye istemal hon. Khulasa yehi hai ke hamein is duniya ko bharpoor tareeqay se istemal karna hai magar is ehtiyaat ke saath ke aane wali asal zindagi nazar andaz na ho jaye. Agar yeh ehtiyaat mojood hai to poora dunia bhi nuksan da nahi hai aur agar yeh nahi to thorri duniya bhi khasare ka baa'is ban sakti hai. Duniya aur aakhirat ki zaroorat mein tawazun qaaim rakhna hi asal imtehan hai aur is imtehan mein pura utarne wala hi asal kamiyab hai. Masawaqat ka asal maidan Na to sare insaan ek jaise zehni aur chust o chalak hote hain aur na hi sare khubsurat, isi tarah na to sare paidaishi raees hote hain aur na hi sare shohrat ki bulandiyo ko cho paate hain. Taham zehni, khubsurat aur raees hone ya shohrat paane ki khwahish sab rakhte hain. Aur jab un ki yeh khwahish kamyab puri nahi hoti to insanon par ek qisam ki mayoosi aur jhunjhlahat si chha jaati hai. Baaz to ehsaas kamzor ka shikar ho kar zindagi mein dilchaspai hi kho bethte hain. Ehsaas mahroomi un ka rog ban jata hai aur bartari hasil karne ki khwahish un par khauf ban kar chha jaati hai. Quran is marz ka ilaj batata hai ke asal mein masawaqat ka maidan koi aur hai. Khalqi ya fitri salahiyaton ka maidan dor ka maidan nahi hai, is ke baraks neki aur taqwa ka maidan woh maidan hai jis mein masawaqat ke liye raasta khula hai. Koi jitna chahe dor lagaye yahan koi pabandi nahi. Balkay qudrat ne yahan sab ko apni salahiyaton barhane aur agay barhne ke yaksan mauqe ata kar rakhe hain. Aur yeh maidan ghareeb ameer, khubsurat bad surat, zehni o ghabi sab ke liye khula hai. Ghalt jagah aur ghalat maidan mein apni salahiyaton zaaya karne se mayoosi aur ehsas mahroomi paida hota hai. Agar waqaiat mein kisi ko apni salahiyaton azmaane aur dor lagane ka shoq ho to woh neki aur taqwa ke maidan mein aaye. Yahan masawaqat aur tanafus parKoi pabandi nahi balkay mustahsan hai. Quran kehta hai, "Aur jis cheez mein Allah ne tumhein ek ko doosre par tarjeeh di hai uski tamanna na karo. Mardon ko hissa milega uss se jo unhone kamaya aur aurton ko hissa milega us mein se jo unhone kamaya aur Allah se uske fazl mein se hissa mango." (32:4) Khawabon ki taabeer tak Bohot saal pehle ek English film mein do shair sunay thay jin ka mafhoom kuch is tarah se hai: "Pahadon ki bulandiyan ho, daryaon ki gehrayian ho ya qaus qazah ki doorian sab tak pohuncho yahan tak ke tum apne khawabon ko pa lo." Iss mafhoom ne mujhe us waqt bhi mutasir kiya tha aur iss paigham mein mere liye aaj bhi kashish baqi hai. Mere khayal mein zindagi ka asool yahi hona chahiye ke insaan koshish aur talash kabhi tark na kare, baar baar koshish kare aur mayoosi ko qareeb bhi na phatknay de aur apne maqsad ke husool ke liye dasht o sehra sab chhann mare. Agar kisi ko yeh cheez hasil hai to yaqeenan usay ek bara sarmaya hasil hai. Aap ne pahaaron ke saath naley to dekhe honge, woh kis mustaqil mizaji aur tasalsul se bahte rehte hain. Chhote baray, saaf nokilay, nar masakht har tarah ke patthar unka raasta rokhte hain lekin woh sab ke beechon beech apna raasta banate chale jaate hain. Yahi haal us insaan ka hona chahiye ke jis ke samne koi maqsad ho. Har tarah ke halaat uska raasta bhi yaqeenan rokain ge lekin usay bhi behar haal un halaat ke beechon beech safar jari rakhna chahiye. Khawab dekhna ek bara cheez hai lekin un khawabon ko poora karne ke liye un thak mehnat karna aur bhi bara cheez hai lekin agar un thak aur mukhlisana mehnat ke bawajood khawab poore hote nazar na aayen to phir Allah ki raza par raazi rehna yaqeenan sab se azeem tarah hai. Ain mumkin hai ke jeetay je apne khawabon ki taabeer hamara muqaddar na ho aise mein hamein iss shair ka masdak hona chahiye: Dast az talab nedaaram ta kaam man barayad Ya tan rasad bajanaan ya jaan z tan barayad Main apne maqsad ke husool tak kabhi chain se na bethunga, agar gaya to mohabbat ko hasil kar loon ga aur ya phir issi koshish mein jaan de doon ga. Shehzad Saleem Tarjuma: Mohammad Sadiq Bukhari