Yeh kahani saudi heart surgeon doctor khaled aljabeer ne apne lecture mein bayan ki hai. woh kehte hain, "yeh mangal ka din tha ke jab maine ek dhaai saal ka bachay ka dil ka operation kiya. Agle din yaani budh ko us ki halat tasalli baksh thi magar jumeraat ko din ke giyarah baje ek nurse ne mujhe inform di ke bachay ke dil ki harkat band hogayi hai. main ward ki taraf bhaga aur poore pentelees minute tak dil ka massage kiya. is poore arse mein dil ki harkat band thi lekin allah ki qudrat ka pentelees minute ke baad dil ne phir dhadkna shuru kar diya. maine socha bachay ke walidain ko is soorat hal ki inform deni chahiye. main us ke baap ki talash mein nikla, woh toh nah mila lekin us ki walida mil gayi. maine use saari soorat hal batayi. aur bataya ke harkat dil ka rukna asal mein bachay ke gale mein khoon ke jari hone ki wajah se hai aur yeh khoon kyun jari hua hai is ki wajah bhi hum nahin jaan sake lekin mera yaqeen hai ke is ke dimagh ki maut waqea hogayi hai. mera yaqeen tha ke yeh suntay hi woh khatoon cheikhay chalayegi magar meri hairat ki inteha nah rahi ke jab usne alhamdulillah keh kar sar jhuka liya. das dino ke baad bachay ne chalna phirna shuru kar diya. hum sab bohat khush the ke us ka dimagh bhi bilkul sahi kaam kar raha tha. lekin barah dino ke baad bachay ke dil ki harkat phir ruk gayi aur us ki wajah wahi gale mein khoon ka jari hona tha. is baar hum ne phir pentelees minute massage kiya magar be soud. dil ki harkat band ki band rahi. maine phir us ki maan ko inform di aur kaha ab koi umeed nahin. maan ne yeh alfaz poore sabr aur tahammul se sunay aur kaha alhamdulillah, phir usne kaha, mere allah agar is bachay ki sehat yab hone mein koi behtari hai toh tu use mahz apne karam se sehat yab kar de. yeh keh kar usne phir sar jhuka liya. ek baar phir mojza hua aur bachay ke dil ne phir kaam shuru kar diya. magar baat yahi pe nah ruki. chhe mah mein bachay ko is tarah ke chhe atak hue ke us ka dil dhadakna band kar deta. aakhir chhe mah baad ek aur physician bachay ke gale mein hone wali bleeding roknay mein kamiyab hue to sath hi dil ki halat bhi sanbhal gayi. ab bacha tezi se sehat yab ho raha tha ke hamein ek nayi musibat ne an laaya. is ke dimagh mein ek rasoli banna shuru hogayi aur yeh aisi rasoli thi ke is tarah ki rasoli mein ne pehle kabhi nah dekhi thi. maine ek baar phir us ki walida ko inform kiya lekin woh is baar bhi alhamdulillah keh kar chal di aur main use dekhta raha. humein bachay ko fori tor par dimagh ke surgical ward mein shift kiya. alhamdulillah ke teen hafton ke ilaj se woh kafi had tak behtar ho gaya lekin chalne phirne ke qabil phir bhi nah tha. abhi do haftay guzre the ke use ek sau chhe degree bukhar ne an laaya. is bukhar ki wajah blood poisoning thi. maine ek baar phir yeh soorat hal us ki maan ko batayi. aur usne ek baar phir yeh keh kar khamoshi ikhtiyar kar li ke mere malik agar mere bachay ke sehat yab hone mein koi behtari hai toh tu use mahz apne karam se sehat yab kar de. is bachay ke sath wale bistar par ek aur bachay ko sau chhe bukhar tha aur us ki maan cheikh aur pukar kar rahi thi ke doctor mere bete ko bacha lo. maine use kaha, tum nahi dekhti ke is bachay ko ek sau chhe bukhar hai lekin phirBhi us ki maa kis qadar sabr se baithi hai aur tum sirf so bakar par wawela macha rahe ho. Usne kaha, is ka kya hai? Yeh aurat to bewaqoof hai! Is par mujhe hazoor (S.A.W) ki hadees yaad aayi ke mubarik baad ke mustahiq hain woh log jo ajnabi hain. Haqeeqat yeh thi ke meri pichhli tees saalah service mein yeh pehli imaan wali aurat thi aur waqaiat mein woh baqi sab mein kitna ajnabi lag rahi thi. Sarrahe chhe mah guzar chuke the, yeh bacha ab ICU se bahar aagaya tha magar us ka haal yeh tha ke woh na chal sakta tha, na bol sakta tha, na sun sakta tha, na hi halchal sakta tha aur us par mustazad yeh ke us ka seena bhi khula hua tha jis mein se us ka dil saaf dekha ja sakta tha. Us ki maa musalsal us ke saath thi aur woh us ke kapde tabdeel karti, us ki khidmat karti magar usi pahaadon jaise sabr ke saath. Woh maa jis ka bacha us ki aankhon ke samne qabr ki taraf ja raha ho lekin phir bhi us ka imaan yeh haal ho ke woh us ko Allah ke supurd kar ke chup ho jaati hai. Is tarah ke imaan aur tasleem aur raza ki meri zindagi mein pehli misaal thi. Lekin ek bar phir Allah ne apni qudrat dikhayi. Mazeed dedh mah guzre the ke yeh bacha apni maa ki duaon ke sadqe mukammal tor par sehat yaab ho gaya. Hum sab ne us ko khushi khushi hospital se rukhsat kiya. Sara hospital us ka guawah tha ke jab sare asbaab saath chhod jaate hain to dua kis tarah barh kar thaam leti hai. Lekin yeh kahani yahan par khatam nahi hoti balkay asal kahani jis ne mujhe hila kar rakh diya, woh us ke baad shuru hoti hai. Is bachay ko hospital se gaye dedh baras guzar chuke the ke mujhe ek mulazim ne itlaa di ke ek mard, aurat ke do bachay aap se milna chahte hain. Main un se milne gaya to khushi aur hairat mein doob gaya ke yeh wahi waliden the jin ke bachay ka main ne operation kiya tha. Woh bacha ab paanch saal ka tha aur apne maa baap ke saath woh bhi aaya tha. Woh ek phool ki manind khoobsurat tha aur khoob bhag dor raha tha. Youn lag raha tha ke jaise yeh kabhi bimar hua hi na ho. Un ke saath ek chhah mah ka nau maulood bacha bhi tha. Main ne un ko khush amdeed kaha aur naye bachay ki taraf ishaara karte hue mazaqan kaha ke is bachay ka kaun sa number hai, barhwan ya teirhwan? Baap meri taraf dekh kar tanzan muskuraya aur kaha, Doctor, yeh hamara doosra beta hai. Aur woh bacha jis ka aap ne operation kiya tha woh hamari shadi ke satrah saal baad mazid duaon ke sadqe paida ho gaya tha. Aur is ke baad us par aur hum par jo bimari ki azmaish aayi us ko aap jaante hain. Yeh sunte hi main apne ansoo na rok sakka. Main ne baap ka daaman thaama aur us ko alag le gaya. Aur us se poocha ke mujhe batao yeh tumhari biwi kis duniya ki rehne wali hai? Woh aurat jis ne baanjh pan ke satrah saal dekhe hain, us ke bachay paida hokar maut aur hayaat ki kashmakash mein mubtala ho jaaye magar woh phir bhi sabr ka daaman hath se na chhode, woh yaqeenan us daur ki aurat nahi. Shayad sahabiyat ke qafle ki bichhri khaton hai jo us daur mein paida ho gayi hai. Is mard ne kaha Doctor sahab, meri biwi ki kookh jitni baanjh thi us ka dil imaan se usi qadar zar khiz tha aur hai. Khawand ne kaha, Doctor sahab, hamari shadi ko unnis baras ho gaye is sare arse mein us ne kabhi tahajjud bhi qaza nahi ki na us ne kabhi jhoot bola hai na kisi ki ghaibat ki hai aur na fazool guftagu. Main jab bhi ghar laut ta hoon to woh mera bohat khushi se istaqbal karti hai aur mujhe pyar aur duaon kiYe dheron tohfe deti hai. Is ki zaban har waqt Allah ke zikr se mamoor rehti hai aur woh neki, shukr aur sabr ka mojza hai. Aur Doctor sahib sach toh yeh hai ke main us ke taqwa aur neki ke samne jab khud ko dekhta hoon toh sharm se pani pani ho jata hoon aur kitni bar aisa hota hai ke meri nigahein us ke samne jhuki ki jhuki reh jati hain aur main unko upar nahi utha sakta. Doctor Khalid ki bayan ki gayi kahani toh yahan khatam ho jati hai lekin apne peechay ek aisa sawal chhod jati hai jiska jawab sochna har us shakhs ke zimme hai jo khud ko musalman kehta hai. Aur woh sawal yeh hai ke kya mahaz musalmanon jaisa naam rakhne se koi mard, haqiqat mein musalman mard ya koi aurat, haqiqat mein musalman aurat ban sakti hai? Aur yeh ke musalman hona, naam ka mamla hai ya sifat aur kirdar ka? Aur yeh ke kal qayamat ko agar Allah ne hamare imanon ko us aurat ke iman ki kasauti par jaanch liya toh hamare iman mein kitna khota niklega aur kya khote iman walay bhi jannat mein ja sakte hain? Sochiye baar baar sochiye, aur koshish kijiye ke is ka jawab maut se pehle mil jaye.