Aaj 28 February, Pakistan mein subah sawa barah bajay ka waqt hai. Bangladash mein 'jangi jurm' ke tribunal ka aik judge Fazil-e-Kabeer apne dosatihon ke saath kamray mein dakhil hua hai, samne kathere mein mufassir-e-Quran, Bangladash mein laakhon dilon ki dhadkan, Jamaat-e-Islami ke naib ameer Dilaawar Hussain Saeedi khade hain, jin ka chehra mutmain aur daien haath mein Quran Kareem hai. Judge ke roop mein insaaf ka qatil 120 safhe ka faisla parhte hue kehta hai: ''Dilaawar Hussain ke khilaf 72, aur himayat mein 17 gawah pesh hue hain. Chunke 20 ilzamat mein se aath ilzamat sabit hue hain, is liye unhe phansi ki saza di jati hai. Agley hi lamhe Dhaka mein communiuston ka akhbar Daily Star internet edition mein surkhi jamata hai: Saeedi ki phansi. Aur Indian television NDTV masrat bhare lehje mein baar baar yeh surkhi nashar karta hai: Jamaat-e-Islami ke rehnuma ko phansi milegi. Allama Dilaawar Hussain Saeedi dua ke liye haath uthate hain aur chup chap, jaldon ke jalo mein phansi ghate jane wali gaadi ki taraf mazboot qadmon ke saath chal padte hain. 1976 se Dilaawar Hussain Saeedi, Islamiyan-e-Bangladash ke dilon par raaj karne aur Quran ka paigham sunane wale har dil aziz khateeb hain, jo mutadid baar parliament ke rukn bhi muntakhib hochuke hain. Unhe 29 June 2010 ko Husna Wajid ki hukumat ne giraftar kiya. Dhai baras ke adalti drame ke baad aaj siyah faisla is haal mein sunaya ke poora Dhaka shehar aur doosre baray shehar 'Border Guard Bangladash' (BGB) aur 'Rapid Action Battalion' (RAB) ki sangeenon tale curfew ka manzar pesh kar rahe thay. Doosri taraf Shahbagh mein bharati khufiya agency 'RA' ke zair-e-itmaam muzahira program chal raha hai ke ''March mein Jamaat ke leaders ko phansi do''. Faisle ke elaan ke baad ihtejaji muzahira karne wale Islami Jamaat Tulaba ke 30 karkunon ko goli maar kar shahid kar diya, sekron ko zakhmi aur hazaron ko giraftar kar liya gaya. (Bashkriya Tarjuman ul Quran)