Aye mere pyare bandoo, aye jannat ke soudagro Duniya ke khasaron ki baat na karo Tumne sariya ki bulandi pe dali hai kamand Tum zameen ke sitaron ki baat na karo Tum to jannat ke mosamon ke ho khogar In aati jaati baharon ki baat na karo Firdaus ki shaukhiyon ke chahne walo In chand rozay nazaron ki baat na karo Hawz e Kauthar se pyaas bujhane walo Zameen ke fawaron ki baat na karo Tumne souda kiya hai zulf-e-hoor ka In range hue ruksaron ki baat na karo Sitaron aur shahabon ki talabgaro Yaqoot o marjanon ki baat na karo Fursan e ilahi ke sawaro Chamakti damakti karon ki baat na karo Tumne manga hai farishton aur Rehman ka saath Yun bichhre hue yaaron ki baat na karo Tum jo bekarann samandar mein kode ho Ab mujh se kinaron ki baat na karo Tawsi balhaq o tawsi balsabr ka nahiArz jo lagaya Phir rukne ke ishaaron ki baat na karo Alqahhaar ke khauf se dabakne waalo Is jahan ki qaharon ki baat na karo Alnaar ke tasawwur se bilkne waalo Duniya ke angaron ki baat na karo Istiqbaal Jannat ke muntazir ho tum Bikhre phoolon ke haaron ki baat na karo Shaitan ke varon se bachne waalo In chhupe ayaaron ki baat na karo