‘‘A’’ ironatikal engineer hain, un ki tanqaa satt laakh maahana bataai jaati hai digar maraat is ke ilaawa hain. Woh Lahore ki ek jadeed aabaadi mein aath kanaal ke banglay mein rehaish pazeer hain. Un ke bachay shuaifat school mein parhte hain jahan un ki fees laakhon mein hai. Physics, chemistry aur maths padhane wale tuition teacher bhi un se ek ek mazmoon ki pachees pachees hazaar rupay maahana tuition le rahe hain. Unhon ne apne bachon ko quran padhane ke liye ek qari sahab se rabta kiya. Fees ki baat hui to qari sahab ne ek hazaar maahana kaha. Is par engineer sahab bole, qari sahab, khuda ka khof karein, kya paanch sau maahana thora hai? Aakhir quran hi to padhana hai. ‘‘B’’ ek islamic scholar hain. Mulk ki ek badi university ke vice chancellor (jo sabiq wafaqi wazir hain) ne un se rabta kiya aur kaha ke un ke fine arts ke shobe se wabasta talaba ke liye islamiyat ka nisab darkar hai. Woh yeh nisab tarteeb de dein aur us ko haftay mein do baar talaba ko parha bhi dein. University un ko munasib mashaher de gi. Is par scholar ne mashaher poocha to unhone kaha ke hum das hazaar maahana de sakte hain. Scholar ne kaha ke aap baqi mazameen ke asaatza ko to paichas se isi hazaar tak de rahe hain jab ke mein ne sirf padhana nahi balkay nisab bhi tarteeb dena hai, to vice chancellor sahab ne kaha aray sahab yeh to hamari majboori hai. HEC wale baghair islamiyat padhaaye degree ki tasdeeq nahi karte aur doosre janab das hazaar bhi to bohot hain, aakhir islamiyat hi to padhani hai. ‘‘C’’ ek international school mein ustaad hain. Woh batate hain ke jab un ke school mein saalana enkrimant dene ki baari aati hai to science padhane walon ko to paanch se das hazaar di jaati hai jabke islamiyat padhane walon ko ek se do hazaar. Aur jab school ke maalik se is imtiyazi sulook ki wajah poochi jaati hai to woh kehte hain ke dekho physics, maths aur chemistry padhane wale itni moti moti kitaabein padhate hain jabke islamiyat wale itni chhoti chhoti, to enkrimant barabar kaise ho sakti hai? Aur phir kehte hain ke bhai is mein kya mushkil hai, aakhir islamiyat hi to padhani hai. ‘‘D’’ ek bade taleemi idare mein islamiyat ke ustaad hain, woh batate hain ke ek raat unhe ek shagird ka phone aaya woh keh raha tha ke sir kal mera, islamiyat (O level) ka paper hai aur mere walid mujhe islamiyat padhne nahi dete. Woh kehte hain ke tum kyun waqt zaya karte ho. Physics, maths padho, jabke mein un se kehta hoon ke kal mera paper hai to walid sahab kehte hain is ka kya hai? Aakhir islamiyat hi to hai, tayyari ki kya zaroorat? Yehi maahir ustaad batate hain ke un ke school mein jab parent teacher meeting hoti hai to bachay apne walidain ko kheench rahe hote hain ke papa, yeh hamare islamiyat ke teacher hain un se bhi milte jayein to papa aur mama yeh keh kar bhag rahe hote hain aray bacho chhodo, jaldi karo jaldi, hamein maths, physics, aur chemistry wale ke paas le chalo. Islamiyat ka kya hai un se phir mil lein ge. ‘‘E’’ ek english medium aalami school mein islamiyat ke ustaad hain, woh batate hain ke un ke school mein islamiyat ke bus do hi sind yafteha aur apne subject ke taleem yafteha ustaad hain jabke school ko zaroorat chaar paanch asatza ki hai kyunke musibat yeh hai.keh har class mein Islamiyat lazmi hai aur government ne bhi is liye lazim kar rakhi hai ke apne musalman hone ki sanad ke tor par pesh kar sake. Woh kehte hain ke unka idara pichle pachees saal se Islamiyat ke asaatizah ki kami English, muaasharti uloom aur ab computer teachers ke zariye poori kar raha hai aur unko Jamaat chaarum, panjum aur chhum parhane ke liye deta hai aur woh bechaare bhi parhate hain kyunke naukri jo karni hui. Magar is parhane ka natija wahi hota hai ke bacha saari umar yeh samajh nahi pata ke aakhir mazhab ki zaroorat hi kyun hoti hai? Islami bai chans aur Islami bai chawais mein kya farq hai? Tauheed ka sahi tasawur kya hai aur aakhirat ki zaroorat kyun hai? Aise bachon ka Islami ilm is tarah ka hota hai ke woh poochte hain sir kya perfume laga kar namaz ho jati hai kyunke hamare Islamiyat ke ustaad (jo asal mein computer ke ustaad hain) kehte hain ke perfume laga kar namaz nahi hoti aur yeh bacha perfume lagana band nahi karta jabke namaz chhodna zyada pasand karta hai. Doosra bacha poochta hai ke sir kya namaz baghair topi ke hojati hai? Kya ke hamare Islamiyat ke ustaad (jo asal mein chemistry ke ustaad hain) kehte hain ke baghair topi ke namaz nahi hoti. Ab bachay na topi pehnein aur na namaz parhein. Teesra yeh poochta hai ke sir kya namaz ke baad jaanamaz ko kyu fawraan utha kar dena chahiye? Kya ke hamare Islamiyat ke ustaad (jo ke asal mein English zaban ke ustaad hain) kehte hain ke agar aap jaanamaz fold nahi karenge to shaitan us par namaz ada karega. Yani ke namazon ke waqt ke ilawa saari masajid mein shaitan har waqt namaz parhta rehta hai kyunke un mein jaanamaz kabhi ekatthe nahi kiye jaate aur agar woh yeh kaam hi karta rehta hai to apni asal duty kab waqt anjaam deta hai? Chotha talib ilm kehta hai ke sir hamare Islamiyat ke ustaad kehte hain (jo asal mein muaasharti uloom ke ustaad hain) ke toheed ka matlab hai Allah ek hai. Jab bachay se kaha jata hai ke beta, toheed ka matlab hai Allah apni zaat aur sifat dono mein yakta, be misal aur ek hai to woh kehta hai ke hamare ustaad kehte hain ke itna keh dena kafi hai ke Allah ek hai, sifat ke chakkar mein parhne ki zaroorat nahi yeh sab molviyon ki baatein hain. Goya shuru hi se bachay ke zehan mein sirf ghalat tasawur hi nahi balkay molviyon ki nafrat aur un se bood bhi ghair mehsoos tareeqay se andarla jaraha hai. ‘‘W’’ ek aise waliden jo apne teen beton ko Lahore Grammar mein parha rahe the inke bare mein pata chala ke woh apne chauthe bete ko madrasay bhejne ka program bana rahe hain. Tehqeeq o tashweesh se maloom hua ke yeh faisla dein se mohabbat ka natija nahi tha balkay woh bacha zehni tor par nakam tha aur school walon ne isko saath chalane se inkaar kar diya tha. Baap ne socha ke ek ticket mein do nizaare le jayein. Taleem ki taleem aur jannat ki jannat aur samaji halqon mein deen daar hone ka certificate bhi. Qareen e muhtaram! Hamare muashray mein sirf yeh nahi balkay is tarah ki hazaron misaalon mojood hain jin se yeh baat roz roshan ki tarah wazeh ho jati hai ke deeni taleem ke bare mein hamara rawiya asal mein hai kya? Hum deeni ilm ko apni zindagi mein kya maqam dete hain aur is ki hamare nazdeek kya ahmiyat hai. Zabanain jo bhi raag alaapen, lekin asal mein musalman society ke tawaazun poorakarne ke liye hum baimar majboori deeni taleem ya Islamiyat ki taraf aate hain aur phir is ke bare mein formalities aur customs poori kar ke hum mutmain ho jate hain. Jo afraad ya idaray apni nam nihad modern zindagi ke sath commitment ke hawale se wazeh hain, woh bohot behtar jagah par hain ke kam az kam doogli policy ka shikar naheen. Woh agarYeh samajhte hain ke deen ki koi zaroorat nahi to unka amal bhi usi ki gawahi de raha hota hai. Magar afsos to wahan par hota hai ke jahan yeh dawai kiya jaye ke hum deen daar hain, deen hamari zaroorat hai magar deeni ilm ki sirf rasam ya farmailti poori ki jaye aur deeni ilm rakhne walon ko doosre balkay teesre darje par rakha jaye aur asal ahmiyat sirf science aur science walon ko di jaye. Deeni ilm ya taleem ko ek zaroorat samajh kar dena aur mahez rasam poori karna, dono bilkul alag alag cheezein hain. Agar aaj hamare muashray ko yeh ilm ho jaye ke kisi medical college mein siyasat ke ustaad parharahe hain ya engineering mein islamiat ke ustaad calculus parharahe hain aur ya ke hakoomat ne medical ya engineering ke taleemi idaray khatam karne ka faisla kiya hai to tamam muashrah sarapa intiqam ban jaye ga lekin agar yeh pata chale ke computer ke ustaad islamiat parharahe hain, muasharti ilm ke ustaad fiqh parharahe hain ya yeh ke deeni taleem ko optional kar diya gaya hai to koi akhara sadaaye intiqam buland ho gi aur is ke baad khamoshi chha jaye gi. Humein infiradi aur ijtimaai har satah par apne rawayye badalne ki zarurat hai. Deen ya deeni taleem koi juz waqti ya part time kaam nahi balkay ek hamesha waqt, hamesha jahati kaam aur zaroorat hai. Jab tak yeh rawayya hamari zindagi ka hissa nahi banega, na hamari zindagi mein inqilab barpa hoga aur na hamare mulk mein. Saath baras se inqilab ki koshish ho rahi hai lekin yeh baat hamein kabhi samajh nahi aayi ke inqilab asal mein rawayon ke badalne ka naam hai na ke nare lagane, conferences karne, jamaatiyan banane aur groupi idaray ya tanzeemat palne ka naam. Hamare watan mein inqilab ke naam par jitne bhi kaam hain woh asal mein jamaati, groupi aur maslaki kaam hain. Madaris mein talba ko fiqh aur maslak se wabasta kiya jata hai aur schools mein physics, maths aur chemistry se. Yehi wajah hai ke hum achhe engineers, doctors, scientists aur maulvi to paida kar rahe hain magar achhe insaan aur musalman nahi. Na madaris mein Quran ko ek zaroorat ke tor par parhaane kaarwai hai aur na in schools mein jo khud ko islam se wabasta samajhte hain. Wahan bachay barah barah saal parhte hain magar Quran ka samajhna to door ki baat hai, is ki reading bhi sahi taur par nahi seekh paate jabke doosri taraf sciences aur english khub samajhte hain aur jaante hain kyunke maan baap se le kar idaray tak sab ne yeh samajh rakha hai ke Quran aur islamiyat ke baare mein rasam poori karna kafi hai aur doosri ilmon ke baare mein mehnat aur jaan-fashani. Deeni taleem koi apne shauq se hasil kar le tab bhi theek hai na kare tab bhi koi baat nahi jab ke sciences to asal maqsad aur zaroorat hain. Deeni taleem mein johar qabil ho tab bhi theek hai na ho, to phir bhi masla nahi kyunke asal mein dono (johar qabil aur ghair qabil) ka ek maqam hai yani zubani tor par first class aur amli tor par third class. In sutoor ka maqsad, tanqeed, tarded, tanqees ya taqabul har giz nahi balkay yeh tawajjo dilana maqsood hai ke aaj bhi waqt hai ke hum apne rawayye aur soch mein tabdili paida kar lein. Mukhlis insaan in alfaaz ko ek yaad dani samajh kar yaqeenan apna rukh durust karay ga aur is ke baraks shakhs in haroof ko tanqeed qarar de kar apni sabiqah manzil ki taraf qamzan rahe ga aur yahi se maloom ho jaye ga ke kis ka islam part time aur mashgala hai aur kis ka maqsad aur zaroorat. Har amal ka pehla zina soch, niyat aur rawayyaYe hota hai. Is ke baghair chalte rahe to agle subah baad bhi hum yahan honge jahan aaj hain. Aur agar ruiye ki tabdeeli ke saath aage barhna shuru kiya to yaqeen keejiye har agla qadam nayi manzil ki khabar dega. InshaAllah