Jermani ka aik aadmi 25 baras ki umr mein zindagi se itna bezar hogaya ke siwaye khudkushi ke use koi aur zariya nijat na soojha. Use mohabbat mein nakami hui thi. Usne khudkushi ka aik bawqar tareeqa ikhtiyar kiya jiska zikr Jermani ki tareekh mein bhi ata hai. Jermani ke aik badshah Otto ne aik larai mein shikast khai, to apna khanjar dil mein ghonp kar khudkushi karli thi. Jermani ke is 25 saal ke jawan ne aik khoobsurat dastay wala chamakta damakta khanjar khareeda aur raat ko apne paas rakh kar leit gaya. Uska irada tha ke leitay leitay khanjar apne dil mein utarlay ga magar khanjar ki nok dil ke maqam par rakhi to use khayal aya ke woh khanjar apne dil mein itna gehra nahi utar sake ga ke woh mar jaye. Woh darasal maut se dargaya tha, usne khanjar phenk diya aur sath mayoosiyan bhi zehan se nikal phenki aur zinda rehne ka tehqiq karliya. Woh zinda raha aur ilm-o-adab ki dunya mein itna mashhoor hua ke sari dunya mein shohrat payi. Uska naam Goethe tha. Jis ka shahr-e-aafaaq novel Faust hai. Woh 1749 mein paida hua aur 82 baras ki umr mein 1832 mein wafat hua.