Hindustan mein musalmano ke zawaal ki khoonchakaan dastan, Mughlia khandan par kya beeti us ka aankhon dekha haal o rangrezo ki barbriyat ki mustanad tareekh Dukhiya shehzadi ki kahani (Nanhi shehzadi ke do haath lady Harding ki tasveer par) Amaan! Yeh moort inhi waisrani ki hai jinhon ne hum ko ek hazaar rupay diye hain? Haan beti! Yeh bade laat sahib ki biwi ka photo hai, badi reham dil hain, hamesha ghareeboon par tars khaiya karti hain. Ab ke hum be saharoon ka bhi khayal aagaya. Zara is tasveer ko mujhe dena. Main un begumon ki balayein loon, wari jaon aur do baatein karke dil ki bhadas nikaloon. Main sadqay tum badi achhi aadmi hoon. Main qurbani kiya noorani surat hai, magar hum ghareeboon ke jhonpare hain kyun kar aaye. Hamare haan to tutey boriya ka farsh bhi pura nahi hai. Main tum ko kahan bithaon. Hum ko charpai bhi maseer nahi. Hum sab zameen par sotay hain. Yeh bohot thandi hai. Tum ko nazla na hojaye. Hamare makaan ki kariyan bhi jhuki hui hain, aisa na ho garparain. Main tumhari kya khatir karoon. Kya cheez dastarkhwan par chunoon. Kal se hum ne kuch nahi khaya. Abamian ko banaye ne aata qarz nahi diya. Is waqt bhuk ke mare ajab halat hai. Agar ghar mein kuch hota to main sab tumhare samne rakh deti. Main bhuki rehti aur tum ko khilati kyun ke tum ne hum par ehsan kiya hai aur is waqt hum ko yaad kiya hai jab ke sara jahan hum ko bhool gaya tha. Kyun begum! Tumhara ji is andhere ghar mein ghabrata to nahi. Tum bijli ki roshniyon mein rehti ho. Kya karoon, aaj hum ko mitti ka chiraagh bhi nasib nahi, warna is ko roshan kardeti. Tum ko kahan sulaon. Raat kyun kar guzre gi. Hamare paas faqat do phate hue kambal hain: ek aba miyan urhte hain aur ek mein ama sath le kar soti hain. Mere pyaare laat sahib ki begum! Achhi zara mere haathon aur munh ko dekho, sardi se phat gaye hain. Sardi ki ratiyan pahaar hojati hain. Sukh ki neend hamare khwab mein bhi nahi aati. Tum ne hum ko hazaar rupay diye hain. Main hazarha apne haathon se tumhari chat chat balayein loon. Amaan kehti hain ke ek zamana humara bhi tha. Hum bhi hazaaroon rupay ghareebon mohatjoon ko banta karte the. Hamare ghar mein bhi qaleen aur makhmalii farsh the, reshami zareen parde the. Sone chandi ki jharao chhati thi, shal do shalle the, londi ghulam the, mahal the, Hindustan ki shehanshai mein dakhil the. Hamare samne bhi gardanen jhukti thi. Raja maharaja ishara ke muntazir rehte the. Hamare gharon mein bhi kafoori shamiyan roshan hoti thi, hum bhi lachaar aur be saharoon par tars khate the, dosron ki khatir apna ghar lutate the. Hamare juloos mein bhi naqare bajte the, naqib karkte the, hathi jhoom jhoom kar chalte the. Hamare sar par bhi taj tha. Talwaarein hamare qadmon par sar tek kar chalti thi. Topiyan hamari hoon par garaj garaj kar barasti thi. Lekin begum ab waqt kahan hai. Duniya dhalti phirti chhaon hai: Unche makaan the jin ke bade Aaj woh tang goor mein hain pare Itar mitti ka jo na milte the Nah kabhi dhoop mein nikalte the Gardish charkh se halak hue Istakhwan tak bhi in ke khak hue Zaat-e-maabood jawdani hai Baaki jo kuch hai woh faani hai Khuda ne hum ko naimatDi. Jab tak is ke qabil rahe naimat paas rahi aur jab hamare amal kharab hue, aish o ishrat mein par gaye, mulk se be khabar hogaye, mazloomon ko bhool gaye, zalimon ki charb zubaniyon par phool gaye, Khuda ne woh dolat cheen li aur dosron ko de di. Ham ko is mein kisi se shikwa nahi. Jaisi karni waisi bharni. Haan tum meri maan ke barabar balkay un se bhi badi ho. Tum se nah kahun to kis se kahun. Yahan bhi na bolun kahan zubaan kholun. Khuda ne tum ko ham sab ka rakhwala banaya hai. Dekho to bhook pyaas ham ko sataati hai. Hamare albele din khak mein milati hai. Meri umr aisi thi ke chehra laal hota magar faqon ne zard kar diya hai. Hamare ghar mein eid baqraeid ki khushi bhi nahi aati. Ham ko in dino mein bhi pet bhar kar roti nahi milti. Ham iss din bhi tooti hui jootiyan aur piond lage kapde pehente hain, jis din saari duniya apni apni haisiyat ke bamujab nayi jootiyan aur naye kapde pehenti hai ham ko barsaat ke tapke ke khatke raat din rulate hain. Ham ko sardian jalane aati hain. Ham par garmiyan qayamat dhaati hain. Dilli sheher ke kutte pet bhar kar sote hain. Kuye shikam seer hokar ghonslon mein jaate hain. Chiriyan tak ke wasta peki chhaton ke ghar hain. Gullarion bhi shandar makaanon mein rehti hain magar timur badshah ki aulad, shahjahan badshah ke bachay, jinhon ne is sheher ko fatah kiya aur banaya aadhi roti ke tukre ko taraste hue bhooke sote hain. Un ko koi raat be fikri ki naseeb nahi hoti. Jin ke baap dada ne laal qila banaya tha un ko toot ja hoon para bhi maseer nahi aata. Begum! Tum ne dekha hoga, Dilli sheher mein ek jame masjid hai, jis ko hamare dada shahjahan ne banaya tha. Door door ki khalqat us ko dekhne aati hai magar us ko koi nahi dekhta ke masjid ki seerhiyon ke saamne, phate hue burqa ke andar, naatwan bacha ko god mein liye, piond laga pajama aur gathi hui kene lagi jooti pehne, kaun aurat bheek mangti hai. Begum! Yeh gareeb dukhya biwi shahzadi hai, jis ka koi waris nahi raha. Tum yaqeen karna meri reham dil waisrani! Isi ke baap shahjahan ne yeh masjid banwai thi. Aaj pet ke liye bheek ke tukde tukde jama kar rahi hai taake zindagi ki masjid aabad kare. Mujhe sharm aati hai mein tum se kyun kehun ke yeh hazar rupay bohot thode hain. Marham ke ek chhote se phai se kya hoga. Hamare to sare badan par zakham hain. Tumhari nayi Dilli ki khair jis ki sarkon mein lakhon rupiya kharch ho raha hai. Tumhari nayi imaraton ki khair jin ke wasta crore rupiya ki manzoori hai. Tumhare is naik khayal ki khair jis ki badolat Dilli ki purani imaraton ki maramat ho rahi hai aur be shumar rupiya us mein kharch kiya ja raha hai. Hamare pet ki namurad sarkon ki bhi maramat kra do aur hamare toot hue dilon par bhi imaraton chunao, hum bhi purane zamane ki nishaniyan hain. Ham ko bhi zinda asar qadeem mein log samajhte hain, hum ko bhi sahara do, mitne se bachao. Khuda tum ko sahara de ga aur bachaye ga. Yeh kehte kehte dukhya shahzadi chonki, ansoo se labrez ankhon ko dono haath se mila aur kaha: mein bhi kiya deewani hoon, tasveer se batein karti hoon, kaghzi but ke aage moradain manti hoon magar shayad kisi Khuda ke bande ke kaan tak yeh deewana pan ki batein pahunch jaye aur woh angrezi mein tarjuma karke Khuda tas Hardinge Begum ko suna de aur woh apne khawand Laat Sahab se kahen, council ke members se kahen, badshah salamat aur un ki malika se kahen ke aale shahjahan ki hifazat ke liye bhi nayi Dilli ki digar manzoorion ke sath koi shandar aur musibat shikan manzoori honi chahiye. Dukhya ShahzadiYeh ki kahani Jis nanni shehzadi ka yeh khayali qissa likha gaya hai uski maa par ghaddar ke zamana mein badi bapta padi thi. Is liye woh sucha aur asli qissa bhi yahan darj kiya jata hai. Woh kehti hain: Ghaddar mein meri umar saat baras ki thi. Amma mujh ko teen baras ka chhod kar marr gayin thi. Abba ke paas rehti thi. Chaudah baras ka ek mera bhai Jamshaid Shah nammi tha, magar haath paon ki uthaan se bees baras ka maloom hota tha. Abba jaan nabina hogaye thay aur hamesha ghar mein baithte thay. Daidhi par chaar naukar aur ek darogha, ghar mein teen bandiyan aur ek maghlani kaam karti thi. Hazrat Bahadur Shah hamare rishte ke dada hote thay aur hamara sab kharch shahi khazana se milta tha. Hamare ghar mein ek bakri pali hui thi. Ek din mein ne uske bachay ko satana shuru kiya. Bakri ne bigar kar mere takkar maar di. Mein ne ghussa mein dast pana garam kar ke bakri ke bachay ki aankhein phor daali, woh bacha tadap tadap kar marr gaya. Kuch din ke baad ghaddar pada. Badshah ke nikalne ke baad hum bhi abba ke saath sheher se nikle, palki mein sawar thay aur Jamshaid bhai ghode par saath thay. Dilli darwaza se nikalte hi fauj walon ne palki pakri. Bhai ko bhi giraftar karna chaha. Unhon ne talwar chalai, ek afsar ko zakhmi kiya, aakhir zakhmon se choor hokar gire. Samne do nokdar pathar pade thay. Woh aankhon mein khub gaye aur bhai ne cheekhain maar maar kar thodi der mein jaan de di. Bhai ki be qarar awaz sun kar abamian bhi palki se niche utar aaye aur ttol ttol kar laash ke paas gaye aur pathar se sir takra kar lahulhan kar liya, yahan tak ke unka wahiin khatma hogaya. Uske baad fauj walon ne hamara sab samaan le liya aur mujh ko bhi pakar liya. Chalte waqt baap aur bhai ki laash se chumt kar khoob royi aur unko be ghorokafan chhod kar majburaan fauj ke saath chali gayi. Ek desi sipahi ne afsar se mujhe mang liya aur apne ghar mujh ko le gaya jo Patiala riyasat mein tha. Iss sipahi ki biwi badi badmizaj thi. Woh mujh se bartan manjhawati, masala paswati, jharoo dalwati aur raat ko paon dabwati. Shuru shuru mein ek raat din bhar ki mehnat se thak gayi thi. Paon dabaane mein oungh aayi toh iss jallad ne dast pana garam karke meri bhanuon par rakh diya jis se palkain tak jhulsi gayi aur bhanuon ki charbi nikal aayi. Mein ne abba ko pukarna shuru kiya kyun ke mujhe itni samajh nahi thi ke marnay ke baad phir koi nahi aata karta. Jab abba ne jawab nahi diya toh mein iss aurat ke dar ke maare se ham kar chop hogayi. Lekin uss par bhi usko tars nahi aaya aur boli ke paon daba. Zakhmon ki takleef mein mujhe neend nahi aati thi aur pair bhi na daba sakte thay. Magar qahardarwesh barjan darwesh. Mein ne issi haalat mein paon dabaaye. Saveray masale peesne mein mirchon ka haath zakhmon ko lag gaya. Iss waqt mujhe tab na rahi aur zameen par machli ki tarah tadapne lagi. Magar be reham aurat ko tab bhi kuch khayal nahi aaya aur boli chal makkar kaam se daam charhati hai. Yeh keh kar pisi hui mirchein zakhmon par mil gayi. Iss waqt mujhe maare takleef ke ghush aagaya aur raat tak hosh nahi aaya. Subah ko ankh khuli toh bechara sipahi mere zakhmon ko saaf karke dawa laga raha tha. Thoray din ke baad sipahi ki yeh biwi marr gayi aur usne nayi shadi ki j Ab yehi likha tha, masla khatam nahi hua.be chaari shehzadi ka khaki chhupar khat gul banu khuda rakhe pandrah baras ki hui. jawani ki raaton ne god mein lena shuru kiya. muradon ke din pehlu mein gadgadayen karne lage. mirza dara bakht bahadur wali ahd sabiq bahadur shah ki noor-e-chashm hain. baap ne bade chaun chuchle se pala hai aur jis din se woh duniya ko chhod kar qabar mein gaye, mahal mein gul banu ki nazbardariyan pehle se bhi zyada hone lagi. amma kehti hain: nguri ke nanhe se dil ko bohot sadma pahuncha hai, baap ka hardkana kare. is ki aisi dildari karo ke un ki mohabbaton ko bhool jaaye. idhar dada yani bahadur shah badshah ka yeh aalam hai ke poti ke laad mein kisi baat se darguzar nahi karte. nawab zainat mahal un ki laadli aur manzoor-e-nazar biwi hain. jaan bakht unhi ke peit ka shehzada hai. agar mirza dara bakht ke qabal az waqt marjane se wali ahd ka mansab mirza fakhru ko mila hai magar jawan bakht ki mohabbaton ke samne wali ahd ki bhi kuch parsh nahi hai aur zainat mahal angrezi hukam se andar hi andar jawan bakht ki takht nasheeni ke mamlaat tay kar rahi hain. jawan bakht ki is dhoom se shadi hoti hai ke mughalon ki aakhri tareekh mein is kurofar ki nayab nahi milti. Ghalib aur Zauq sehre likhte hain aur un mein woh mashhoor shair baazi ki chhamak ho jati hai jis ka zikr shams ul ulama azad dehlvi ne "aab-e-hayat" mein kiya hai aur ghalib ko likhna parta hai ke: 'muqta mein apri thi sakhun gustarana baat' warna mujhe khudanakhwasta ustaad shah yani janab-e-zauq se kuch adawat nahi hai. Yeh sab kuch tha aur jawan bakht aur zainat mahal ke aage kisi ka charagh na jalta tha magar gul banu ki baat sab se nrali thi. bahadur shah ko is ladki se jo talluq tha aur jaisi sachi mohabbat is yateem ladki se rakhte the aisi kefiyat zainat mahal aur jawan bakht ko bhi maysar nahi thi. Pesh andaza ho sakta hai ke gul banu kis shaan o shaukat o niaz o nemat se zindagi basar karti hongi. hone ko mirza dara bakht ke aur bhi bal bachay the magar gul banu aur us ki walida se un ko ishq tha. gul banu ki maan ek dumani thi aur mirza us ko tamam begamat se zyada chahte the. jab woh mere the to gul banu barah saal ki thi. mirza dargah hazrat makhdoom nasiruddin chragh delhi mein dafan hue the, jo delhi se chhe mile ke fasla par purani delhi ke khindron mein waqe hai. gul banu, mahine ke mahine maan ko le kar baap ki qabar dekhne jati thi. jab jatein qabr ko lapet kar roti aur kehti: 'aba! hum ko bhi apne paas lata kar sila lo, hamara ji tum ban ghabrata hai'. jab gul banu ne pandrahwin saal mein qadam rakha to shabab ne bachpan ki zidd aur sharaartain to rakh di magar dilrubaai ki shokhiyan is sitam ki dhayein ke mahal ka bacha bacha panah maangta tha. sone ke chhupar khat mein dushala taane soyi karti thin. shaam ke charagh jale aur banu chhupar khat par pahunchi. maan kehti: charagh mein bati padi laado palang chadhi to woh muskura kar angdaai aur jamaai le kar sar ke bikhere hue balon ko maathe se simat kar kehti: achha bi tum ko kya. sote hain waqt khote hain tumhara kya lete hain. tum na haq koylon par looti jati ho. maan kehti: na bano mein jalati nahi shoq se araam karo. khuda tum ko hamesha sukoon neend silata rakhe. mera matlab to yeh hai ke zyada sona aadmi ko bimar kar deta hai. tum shaam ko soti ho to savere zara jaldi utha karo magar tumhara to yeh haal hai ke das baje jate hain ghar mein dhoop phail jati hai. londian dar ke maare baat tak nahi kar sakti ke banu ki aankh khul jaye gi. aisa bhi kiya sona. aadmi ko kuch ghar ka kaam bhi dekhna chahiye. ab mashallah tum jawan hui, paraye ghar jana hai. agar yahi aadat rahi to wahan kiWoh kar guzara hoga. Gul Bano maan ki yeh taqreer sun kar bigarti aur kehti: Tum ko in baaton ke siwa kuch aur bhi kehna aata hai. Hum se na bola karo. Tumhe hum doobhar hogaye hain to saaf saaf keh do. Dada Hazrat (Bahadur Shah) ke paas ja rahe hain. Muhabbat ka maktab Iss zamana ka zikr hai Mirzad aur Shikwa Shehzada Khizr Sultan ka beta Gul Bano ke paas ane jane laga. Qila mein bahumi parda ka dastoor nah tha. Yani shahi khandan ke aaps mein parda nah karte the. Iss wajah se Mirza Dawar ki amad o raft be rok tok hoti thi. Pehle to Gul Banoan ki behan aur woh unke bhai the. Chacha taya ke do bachay samjhe jate the lekin baad mein ishq ne ek aur rishta paida kiya. Mirza Gul Bano ko kuch aur samjhte the aur Gul Bano Dawar ko zahiri qarabat ke siwa kisi aur rishta ki nazar se dekhti thi. Ek din subah ke waqt Mirza Gul Bano ke paas aaye to dekha ke Bano siyah dushala odh kar sonehri chhapar khatt mein safed phoolon ki sej par paon phelaye be khabar pari soti hain. Moun khula hua hai, apne hi bazu par sir rakha hai, takia alag pada hai, dono londiyan makhiyan ura rahi hain. Dawar Shikwa chachi ke paas beth kar batein karne laga magar kin aankhon se Gul Bano ka yeh alam makhmoori dekhta jata tha. Aakhir na raha gaya aur bola: Kyun chachi (Hazrat) Bano itne din chadhe tak soti rehti hain. Dhoop qareeb aagayi. Ab to unko jaga dena chahiye. Chachi ne kaha: Beta Bano ke mizaaj ko jante ho, kis ki shammat aayi hai jo unko jagaaye, aafat barpa hojayegi. Dawar ne kaha: Dekhiye main jagata hoon, dekho kya karti hain. Chachi hans kar boli: Jaga do, tum se kya kahenge, tumhara to bohot lihaaz karte hain. Dawar ne jakar talwe mein gadgadiyaan kiya. Bano ne ungarai le kar paon simat liya aur be ikhtiyar ankhain khol kar nigah-e tesh se paineti ki taraf dekha. Iss ko khayal tha ke kisi londi ki shararat hai iss ko gustakhi ki saza deni chahiye magar jab usne aise shakhs ko samne khara dekha jis se khudbakhud uska dil muhabbat karta tha, to sharm se usne dushala ka anchal munh par daa liya aur ghabra kar uth baithi. Dawar ne hosh posh manzar ko dil tham kar dekha aur be ikhtiyar cheekh kar bola: Lo chachi Hazrat maine Bano ko utha bithaya. Muhabbat ne bohot taraqqi ki. Maktab-e-Ishq ki abjad khatam hogayi aur dars-e-hijr o wasl ke shikwe parhne lagay to Gul Bano ki maan ko shuba hua aur usne Dawar Shikwa ka apne ghar mein aana band kar diya. Ghadar ke nau mahine baad Dargah Hazrat Charagh Dehli ke ek kona mein ek qubool surat aurat phata hua kambal odh kar raat ke waqt haye haye kar rahi thi. Sardi ka meenah dhuan dhara baras raha tha. Tez hawa ke jhonkon se boochaar iss jagah ko tarkar rahi thi jahan iss aurat ka bistar tha. Yeh aurat sakht bimar thi. Pusli ke dard, bukhar aur be kasi mein akeli pari tarapti thi. Bukhar ki behoshi mein usne awaz di: Gulbadan, ari o gulbadan! Mardar margayi jaldi aa aur mujhko dushala udha de. Dekh boochaar ander aati hai, parda chhod de. Roshni to hi aa, gulbadan to kahin ghaarat hogayi. Mere paas koylon ki angithi la. Pusli par tail mal. Aray dard se mera saans ruka jata hai. Jab koi iss awaz par bhi uske paas na aaya to usne kambal chehra se hata diya aur charon taraf dekha. Andhere dalan mein khak ke bichhoney par tanha pari thi. Charon taraf ghaap andhera chhaya hua tha. Meenah sanate se baras raha tha. Bijli chamakti thi to ek safed qabr ki jhalak dikhayi deti thi.aur is ke baap ki thi) ye haalat dekh kar is aurt ne ek aah ka nara mara aur kaha: baba, baba! mein tumhari gali baano hoon, dekho akeli hoon, utho mujhe bukhar chadh raha hai. aah meri pasli mein shadeed ka dard ho raha hai, mujhe sardi lag rahi hai, mere paas is boosidah kambal ke siwa odhne ko kuch nahi hai. meri aman mujh se bichar gayein. mein mahalon se jalawatan hogayi. baba! apni qabr mein mujhe bula lo. achhi mujhe dar lagta hai, kafan se munh nikalo aur mujhe dekho. mein ne parson se kuch nahi khaya. mere badan mein is gili zameen ke kankar chubhte hain. mein eent par sar rakhe leti hoon. mera chhappar khat kiya hua. mera doshala kahan gaya. meri saij kidhar gayi. abba abba utho ji kab tak sowoge. haaye dard, afoh saans kyun kar loon. ye kehte kehte us ko ghafilat si hogayi aur us ne dekha ke mein mar gayi hoon aur mere walid mirza darabakht mujhe qabr mein utaar rahe hain aur ro ro kar kehte hain: ye is bechari ka khaki chhaparkhat hai. aankh khul gayi aur bechari baano eriyan ragnay lagi. sakarat ka waqt shuru hogaya aur woh kehti thi lo sahib mein marti hoon kaun mere halaq mein sharbat tapkayega. kaun mujh ko yaseen sunayega. kis ke zaano par mera sar rakha jayega. ilahi tere siwa mera koi nahi. tu ek hai. tera habib mera munsif aur rafeeq hai aur yeh chiraagh auliya mere pardosi: la ilaha illallah muhammadur rasoolullah. shahzadi margayi aur doosre din gore ghareeban mein garr gayi aur wahi us ka abadi chhaparkhat tha, jis mein qayamat tak soti rahegi. ***