Meri ek rishte ki behn hain, unki pentalis saal umar hogayi aur uski shadi nahi hui. Usko mene bataya ke tum astaghfar parho. Waliden ki wafat hogayi to yehi ghar mein badi thi pehle usne chhoton ki shadi ki aur phir khud reh gayi. Mere kehne par usne sirf astaghfar parha. Aap yakeen karein uski zindagi mein itna acha aadmi aya ke jiska gumaan nahi tha - 85 tajdid guzaar aur usse sirf ek saal bara. Uski pehli shadi hui thi biwi foot hogayi, bacha nahi hai. Behtareen ghar. Sirf astaghfar ki barkat se. Usi khatoon jiski shadi hui thi uska ab bacha nahi ho raha tha, usne mene kaha astaghfar parho, usne ab astaghfar parhna shuru kardiya hai. Usko Allah ne umeed lagayi lekin usne astaghfar chhod diya. Mene usko kaha ke aap ki is umr mein shadi hui aur ab Allah ne is umr mein aap ko umeed lagayi, aap logon ko mat batayein. Lekin usne meri baat par amal nahi kiya aur kisi ki nazar lagi aur bacha zaaya hogaya kyunke usne parhai chhod di thi. Usne astaghfar parhna bilkul hi chhod diya tha. Namaz nahi chhodi, namaz ki woh bachpan se hi paband hai. Mene usse kaha baaji aap astaghfar nahi parhti, usne kaha haan mene astaghfar parhna chhod diya tha. Mene unse kaha aap ne astaghfar parhna khatam kardiya tha to aap shukr shuru karti, mene aap se kaha tha takay yeh naimat aap ke paas qaim rahe. Allah ka shukr apni zabaan mein karein. Allah pak kehte hain ke jab mein koi naimat deta hoon to uska shukr shuru karein, woh naimat kabhi wapas nahi jayegi. Mene har naimat par Alhamdulillah Rabbil Alameen baghair ginay parhti hoon. Mene yeh azmaaya hai ke jis naimat par shukr kiya hai woh wapas nahi gayi aur jis par mene shukr nahi kiya woh wapas chali gayi. Jis naimat par mein dil se shukr guzaar hoon lekin mene zabaan se lafz ada nahi kiye to bhi woh cheez wapas chali gayi. Mene baaji se kaha tum ne shukr nahi kiya isi wajah se itni badi naimat zaaya hogayi. Shukr karne ka tareeqa yeh hai ke sara din baghair ginay bar bar kahen Alhamdulillah Rabbil Alameen. Is ke alawah bar bar apni zabaan mein shukr karein ke ya Allah jo tu ne mujhe naimat di main us ke qabil nahi tha Allah tera shukr hai. Arabi ke jo alfaaz hain yeh aap munh se ada karte hain dil se ada inhein karte. Mujhe sukoon tab milta hai jab mein apni zabaan mein Allah se mangti hoon. Meri chhoti si khwahish chhotay se amal se puri hogayi: Lahore aane ke baad meri chhoti si khwahish thi mere bachay achee umar mein parhein. Mein pure jahan se sifarishen karwasakti thi lekin mere shohar sifarish ke khilaf the. Alhamdulillah mere Allah ne sirf shukr ki wajah se meri yeh khwahish bhi puri kardi. Jab mein apne bachon ko lene jaati hoon us waqt Allah ka shukr karti hoon ke ya Allah tera bara shukr hai ke tu ne meri is duniya ki chhoti si khwahish ko bade ache tareeke se pura kiya. Aap yakeen karein mere bachon ko wahan masail nahi bante halaanki un ke saath ke bachay tuition parhte hain mere bachon ki wahan koi tuition nahi aur sare bohot acha rahe hain. Jab meri shadi hui to hamare rishte daar kehte the ke in ki aapas mein nahi banegi kyunke mere shohar zara sakht tabiyat ke hain. Yakeen maaniye Allah se sirf dua ki hai aur ab chobees ghante ke alawah jab bhi namaz parhti hoon ek dafa shukr ki tasbeeh parhti hoon. Ya Allah is aadmi ko tu mere liye acha banade aur mere bachon ke zehin hone ki wajah bhi sirf shukr hi hai. Main Allah se shukr in alfaaz se karti hoon: Alhamdulillah Rabbil Alameen aur dil mein yehi hota hai ke ya Allah tu is aadmi ko mere liye acha banade. Raat ko parho ya subah parho din mein do nafal shukrane ke lazmi parhti hoon. Shukr karti hoon apne khawind ke liye, apne bachon keIliye apne nokroon ke liye keh us ne mujhe nek nokar diye. No saal se nokar mere saath hain. Is ke ilawah do nafl mein astaghfar ke parhti hoon ke ya Allah jo mujh se aaj ke din ghaltiyan hui hain woh maaf farma de, do nafl mein hajat ke mangti hoon ke ya Allah meri saari hajat qubool farma. Main sirf yeh wazaif karti hoon. Astaghfar, shukr, raat ko sone se pehle charon qul, Ayat al Kursi, Hazrat Abu Darda (RA) ki dua. Bas yeh chhe cheezein raat ko parh kar soti hoon aur Laqad Ja'akum... (Surah Tawbah, aakhri do ayaat) unki mein ne badi barkatein dekhi hain. Jo darj zeel hain: Allah khud mujhe behtari ki taraf le kar ja raha hai. Behtari ki raahin meri taraf khul rahi hain. Mera Allah kitna rahm dil hai: Main ek maa hoon aur jab main yeh cheez dekhti hoon ke Allah Ta'ala apne bande se sattar maoun se zyada pyar karta hai to mein sochti hoon ke main apne bachon ke haq mein itni rahm dil hoon aur mera Allah kitna Raheem hai. Meri sab se chhoti beti hai, kal main ne us ko bada sakht daanta. Woh khadi hogayi, kehne lagi amma sorri. Main ne kaha sorri se kiya matlab hai. Main ne kaha main ne tumko ek kaam kaha tum ne kiya nahi dafa hojao meri aankhon ke samne se. Woh wahi khadi rahi, doosri dafa us ne kaha amma sorri. Jab us ne teesri dafa kaha amma sorri to yakeen karein mujhe us par itna pyar aaya. Main ne us ko pakar kar us ka munh chuma. Mujhe itna fakhr hua ke is bachchi ne mera itna maan rakha hai. Us ne mujh se maafi mangi aur ek hum hain ke ek baar Allah se toba karte hain humari shanawai nahi hoti to doosri dafa hum toba nahi karte, ulta Allah se naraz hojate hain. Is bachchi ne mujhe itna bada sabak diya hai ke Allah ke samne bas aap tikay rahiye. Is bachchi par kal se mujhe itna pyar araha hai. Athwein mein meri beti parhti hai. Main ne us se kaha ke main ne aap ko itna sakht daanta tha aap chali kyun nahi gayin, us ne kaha amma agar main fori chali jati to aap ka gussa utarna hi nahi tha. Main ne socha amma teen dafa daante gi, chaar dafa daante gi lekin main khadi rahungi. In chhoti chhoti baaton, royan se aap seekhte hain. Aur shukrana ka yeh hai ke mujhe itni si bhi naimat, yeh mobile jaisi bhi mili to main ne us ka apne dil mein das dafa shukr ada karna hai. Mera koi nokar acha hai, meri handi achi pak jati hai is par bhi main Allah ka shukr ada karti hoon.