Helen Keller ka naam aap ne suna hoga jise Mark Twain ne uneeswain sadi ki sab se dilchasp shakhsiyat qarar diya tha. Helen Keller binaai, goyaai aur sunai se mehroom thi, woh mahaz lams mehsoos kar sakti thi. Lekin uske andar kuch kar dikhane ki talab ne usay is maqam par laakar kiya, ke woh itni mehroomiyon ke bawajood namwar khatoon ban gayi. Usne apni aap beit mein ek kamaal ki baat likhi. ''Main khush hoon ke mere Khuda ne mere upar bara karam kiya. Agar yeh saari cheezein, yeh saari nematein.. binaai, goyaai aur sunai mujhe mili hoti to main duniya ki ek namwar aurat nahi maamoli si gharailo aurat hoti.'' Sheikh Saadi ke paon mein joota na tha aur yehi baat andar hi andar unhein malool kar rahi thi. Jungle mein chalay ja rahe thay ke aik apahaj ko dekha jo beisakhi ke sahare chal raha tha. Paon hi na thay, lekin phir bhi woh shukar guzar tha. Sheikh Saadi bohot mutasir hue aur shukr kiya ke unke peer to hain, so shukar guzari seekhne ka behtareen tareeqa yeh bhi hai ke sar utha kar dekhne ke bajaye kabhi sar jhuka kar bhi dekh liya jaye. Mumkin hai woh log nazar aa jayein jo maal o dawlat, martaba, taleem mein aap se kam, lekin shukar guzari mein aap se kahin barh kar hote hain kehte hain ''jo logon ka shukar guzar nahi hota, woh Allah ka shukar guzar kaise ho sakta hai?'' Allah ke bandon ka shukar guzar honay ke liye zaroori hai ke hum woh bhalaaiyan aur nekiyan yaad rakhein jo unhone hamare saath ki thi. Jab dosron mein kotaahiyan aur khameyan nazar aayein to apne gareeban mein jhank liya karein? Khush qismat hain woh log jinhein apni kotaahiyan dosron ki khameyan bayaan karne se baaz rakhti hain. Jo log apni kotaahiyon par nigaah rakhte hain, aamooman woh dosron se gilah, shikwa kam karte hain. Kuch logon ko apne haalaat, mahol, khandan, ya kam waseel se shikwa hota hai. Woh jab dosron ko sabqat le jaate dekhein to namanzoor haalaat, mehdood mauqe aur ghair faidahmand khandani pas manzar ka gilah karte hain. Aise logon ko yaad rakha chahiye ke duniya mein bohot si namwar aur azeem shakhsiyatien aisi guzri hain jinka talluq intehai aam khandanon se tha aur jinhon ne bohot ghurbat mein parwarish payi. Lihaza aage barhne aur taraqqi karne ka asal raaz apni salahiyaton par aitmad aur Allah par bharosa rakhna hai. Aksar yeh alfaaz dahrate raha karein. ''Ya Allah! Mujhe apni raza mein raazi kar le. Mujhe waisa banne ki taufeeq de jaisa tu apne bandon ko dekhna chahta hai.'' Yeh mashq tasleem o raza seekhne ke liye behtareen hai. Humein zindagi mein do tarah ke log nazar aate hain. Ek woh jinhein zara si takleef pahunchaye ya zara sa dukh mile to gilah unki zabaan par aa jata hai. Ek kaanta bhi chubh jaaye to woh saari kayenaat ke khilaf bolne lagte hain kehte hain ''Jab se chand sitare bane hain mujhe koi na koi takleef rehti hai.'' Yeh wahi log hain jin ki poor bahaar zindagi mein agar khiza ka ek patta bhi gire to yeh nashukri karte hain. Phoolon bhari zindagi mein ek kaanta bhi aa jaaye to gLeh karte hain. Yeh hamesha barsne wali rahmaton, anayaton aur ataon ki barish bhool jaate hain. Lekin yaad rakhte hain to lo ka woh aik thapetra jis ne kabhi unhein halkay se chhua tha. Yehi woh log hain jo joota gum hone par chalna chhod dete hain. Un ki nazrein sheeshe par mari makhhi par ja therti hain, lekin sheeshe ke us paar tahd-e-nigah phaila husn o jamal mehsoos nahi hota. Yeh wahi log hain jo khushiyon ki potli mein se chanat chanat kar dukh nikaalte hain aur phir unhein taweez bana kar galey mein daal lete hain. Yehi log zindagi ke dheer saare khushgawar lamhon mein se koi nakushgawar lamha dhoond kar calendar ki surat deewar par laga lete aur phir har waqt use yaad kar ke aahen bharate, taqdeer se gilah aur nashukri karte hain. Doosri qism ke in logon ki hai jinhein dhup mein khara kiya jaaye ya chhaon mein un ke dil ka peemana shukr guzari aur ehsan mandi ke jazbat se labrez rehta hai. Un ki khizaan zadah zindagi mein bahaar ka aik maimar jhonka bhi bohot ma'ani rakhta hai, woh us jhonke ko saari zindagi yaad kar ke apni habs zadah zindagi mehkate rehte hain. Khushi ka aik lamha ata hone par bhi kehte hain "mere Allah! Tu hamesha se mujh par mehrban hai, mein ne jab bhi us ki taraf aik qadam badhaya to woh das qadam zaroor meri taraf aaya hai." Yehi log hain jo ke paas joota todarkano paoon bhi nahi hote phir bhi zubaan par shikwa nahi late. Yehi woh log hain jo Helen Keller ki tarah mahroomiyon ko nemat kehte hain. Nakushgawar lamhon ko cartoon bana kar un par ranjeeda hone ke bajaye hansne ka hunar seekhte hain. Aadha khali glass dekh kar pareshan hone ke bajaye aadha bhara hua glass dekh kar khush hote hain. Waqt ke tareek jungal se milne wale jugno jaise aik pal ko bhi mitti mein qaid kar ke saari zindagi roshan kar lete hain, zindagi ke tapte sahra mein urti reit ka zikar nahi karte balkay ek dhoond ka saya faraham karte, darakhton ki baat karte hain. Yehi log har kathin lamha mein apne aap se bohot dheere se pur yaqeen andaz mein kehte hain: "jo karta hai Allah karta hai aur Allah jo karta hai, sahi karta hai." Yehi maqsad-e-fitrat par bhi yaqeen rakhte hain. Isi liye jab un ke sapne bikhrein aur toote khawabon ki karchiyaan dil mein tarazu hon to woh fagar-e-dil aur chhalni jigar ke sath bhi chehre par muskurahat sajane ka hunar seekh lete hain. Woh chupke chupke Allah se kehte hain "agar tu is baat mein raazi hai to phir mein bhi raazi hoon." Sawal yeh hai ke pehli qism ke logon se nikal kar doosri saf mein khare logon mein shamil hona hamein kab aayega? Gale, shikayat, shikayat, nashukri aur beja talba se nikal kar shukar guzar aur tasleem o raza ke marhale mein hum kab dakhil honge? Yeh woh sawaliya nishan hain jin par sochne ki zaroorat hai taake hum nematon ka idrak aur iqrar kar saken. Kyunki Quran Pak mein irshad hua hai "agar tum shukar karo ge to mein tumhare liye nematon ko barha dunga." ***