Kandhla (Hindustan) mein ek martaba zameen ke ek tukde par musalmanon aur hinduon ke darmiyan jhagra khara ho gaya. Dono fairq isay apni malkiyat batate thay aur koi bhi apne daway se dastbardar hone ko tayar nah tha. Muqadma adalat mein pahuncha aur baal-aakhir thasli pe muamla thehra. Maulana Mazhar Hussain Kandhalvi thasli muqarrar hue aur unke taqarrur par hindu bhi khushi raazi ho gaye. Adalat ne Maulana ko talab kiya. Maulana ulama ke us group se mutalliq thay jinhein angrezon se sakht nafrat thi. Woh us shart par adalat mein anay ke liye tayar hue ke woh angrez judge ka chehra na dekhein ge. Judge ne shart tasleem kar li, chunanche woh aaye aur judge ki taraf pusht kar ke khare ho gaye. Dono fairq hazaron ki tadad mein mojood thay. Maulana ne sab ke roobaru aur elan kiya ke "zameen ka munaazia tukda dar asal hinduon ka hai, musalmanon ka is par dawayi be jaa hai". Aap ki is gawahi aur faislay par yeh zameen hinduon ke hawale kar di gayi. Kandhla mein is din musalman haar gaye lekin Islam jeet gaya woh is tarah ke sham hone se pehle pehle hinduon ke chobis gharaane Islam qubool kar chuke thay. Kuch aisa hi tasadum zara baray paimane par aa jama musalmanon aur aqwam-e-alam ke darmiyan barpa hai zameenon ke kuch tukde hain, dawlat ke chand sikke hain aur mufaadat ke baaz sarchashme hain jin pe apna apna haq sabit karne ki jung jaari hai. Aur chunke haq "lathe gol" se sabit kiya ja raha hai is liye zahir hai ke is jung mein zyada "lathein aur golian" wale jeet rahe hain aur kam "lathein" wale haare hain. Raaste do hi hain, ya to zyada se zyada "lathein" akathi ki jaayein jo ke musalmanon ke maujooda halat ke pas manzar mein ek sahi sahi lahasil nazr arahi hai aur ya phir maidan-e-jang hi tabdeel kar liya jaaye. Behtareen jarnail wahi hota hai jo dushman ko apni pasand ke maidan mein ladhne par majboor kar de. Musalmanon ke paas bhi ek aisa maidan-e-jang behar haal mojood hai aur yeh agar hikmat amli se kaam le kar "dushman" ko is maidan mein utarne par majboor kar dein to koi wajah nahi ke unka "dushman" shikast se do char na ho kyunke is maidan ka maqsood aslaha "dushman" ke paas pehle bhi mafqud tha aur aaj bhi anqa hai. Aur yeh maidan, dawat-e-deen ka maidan hai lekin is maidan mein utarne se pehle musalmanon ko shaoor y tor par ek faisla karna pare ga woh yeh ke aya unhe apni jeet maqbool hai ya ke Islam ki. Aeen mumkin hai ke bazahir musalman haare rahe hon lekin Islam jeet raha hai. Jaisa ke Kandhla ke shehar mein ho chuka hai. Kaash ke aaj ke musalman ko is haqiqat ka idrak ho jaaye ke aaj har "lathein" har gol" har patthar" har bam aur har khudkash dhamake ke saath musalman bazahir to waqtanwi aur maqami tor par jeet raha hai lekin Islam haare raha hai. Yehi nahi balkay humare gharo, humare daftaron, humari dukanon aur humare bazaaron mein bhi Islam har ghari aur har anha ra raha hai. Aur musalman jeet raha hai. Rashwat ke har sikke ke saath musalman jeet raha hai lekin Islam haare raha hai. Mulaawiz ki har qisam ke saath musalman jeet raha hai lekin Islam haare raha hai. Naap tol mein har kami ke saath musalman jeet raha hai lekin Islam haare raha hai. Isi tarah har qatal aur har aghwa ke saath, har baddeyanti aur har dhoke ke saath.Har jhoot aur har fraud ke sath musalman jeet raha hai aur islam haar raha hai. Kaash ke hum islam ki jeet ka faisla aur mansooba bandi kar lein. Agar hum aisa karte hain to asal mein, hum Allah ki mashiyyat se hum aahangi ka faisla karte hain. Allah ko islam se pyaar hai, na ke musalman ke naam se. Is ne tamam anbiya ka mazhab islam hi rakha hai aur yeh qarar diya hai ke is ke nazdeek mazhab bas islam hi hai "Inna ad-deen 'inda Allahil Islam". To jo islam ka ban jaye ga woh asal mein Allah ka ban jaye ga aur jo Allah ka ban jaye ga woh naqabil shikast ban jaye ga. Yeh ek aisa kiliya hai jis ki sadaqat pe tareekh bhi shahid hai. Yahood bhi jab tak 'islam' ke liye jiye is duniya ki imamat unhi ka muqaddar rahi aur musalman bhi jab tak islam ke the siadat wa imamat unhi ki bandi thi aur jab musalman 'apne' ban gaye to haqiqat mein woh na ghar ke rahe na ghaat ke. Musalmano! Wapsi ka rasta abhi band nahi hua. Lekin waqt beher hal beet raha hai aur darwazay kisi bhi lamhe band ho chahte hain. Band darwazon se phir sar takra ane se kuch hasil nahi ho ga. Shaukat-e-islam ke liye rone wale musalmano! Islam ke liye rona seekho aur Hazrat Umar (RA) ke is farm an ko paly band karo ke islam ne tumhe chamkaya hai na ke tum ne islam ko. Yeh ek atal haqiqat hai ke hamari sari izzatein, hamare sare waqar, hamare sare maan islam hi se wabasta hain. Aao musalmano! Islam ke ban jao. Apni jeet ki fikar chhod kar islam ki jeet ki fikar karo. Lekin is jeet mein apne liye kitni hi 'haroon' ko bard asht kar na ho ga lekin unhi 'haroon' mein, asal mein, tumhari jeet hogi.