be khud kiye dete hain andaaz-e-hijaabaana aa dil mein tujhe rakh loon ae jalwa jaanana kyun aankh milaayi thi kyun aag lagaayi thi ab rukh ko chhupa baithe kar ke mujhe deewana itna to karam karna ae chashm-e-kareemana jab jaan labon par ho tum saamne aa jaana ab maut ki sakhti to bardaasht nahi hoti tum saamne aa baitho dam nikle ga aasana duniya mein mujhe apna jo tum ne banaya hai mehshar mein bhi keh dena yeh hai mera deewana jaanana tujhe milne ki tadbeer yeh sochi hai hum dil mein bana lenge chhota sa sanam khana main hosh hawaas apne is baat pe kho baitha tu ne jo kaha hans ke yeh hai mera deewana peene ko to pee loon ga par arz zara si hai ajamir ka saaqi ho baghdad ka mekhana kya lutf ho mehshar mein shikwe mein kiye jaaun wo hans ke yeh farmaayein deewana hai deewana ji chahta hai tohfa mein bhejoon unhein aankhein darshan ka toh darshan ho nazrane ka nazrana bedam meri qismat mein sajde hain usi dar ke chhota hai na chhutega sang-e-dar-e-jaanana