Is ziyafat mein mulk ki chand ahem deeni Jama'aton ke rehnuma jama thay. Dastarkhwan par anwaar o aqsaam ke khanay aur phal chunay thay. Jadeed qisam ki karakari aur modern qisam ki dawat ke tamam lawazimat pure thay, farq sirf yeh tha ke log khara hone ke bajaye arbi tehzeeb ke sath irani qaleen mein dhansay ja rahe thay. 'Khushu o khuzu' ke sath khanon ki aqsaam aur rutbaakh ki maharat par behas ki jarahi thi ke isi inteha mein mizban ne khane ki darkhwast ki. Logon ne khane ke liye chamach ki taraf haath barhaye thay ke ek kone se ek saqqa alim ki awaz aayi ke bhai, chamach ki kya zaroorat hai, haath se khana sunnat hai. Mein ne haath mein pakra chamach rakh to diya lekin mein yeh sochta hi raha gaya ke Nabi Kareem (S.A.W) ke dastarkhwan par ek waqt mein kitne khanay jama hote thay? Aur mere sath bethe hue ek aur sahib ne jo alim deen na thay mere kaan mein kaha ke khane mein sadgi ikhtiyar karna bhi to sunnat hai....! Mein ne kaha, yaqeenan, aur bhook se maroon ki madad karna bhi to sunnat hai.... Maulvi sahib ki kapray ki dukan thi. Shadeed garmi mein ek gahak malmal dhondte dhondte un ki dukan par aa pahuncha. Kapra khareedne se pehle uss ne dukan mein rakhe cooler se apni pyaas bujhana chaahi aur wahi khade khade pura glass pee gaya. Maulvi sahib ne us ki taraf khoonkhawar nigahon se dekha aur us se kaha, tumhen maloom nahi ke baith kar paani peena sunnat hai? Woh bechara, iss naa'gahani hamle se itna ghabraya ke kapra liye baghair hi bahar bhag gaya aur mein jo dukan mein pehle se mojood tha yeh sochta hi raha gaya ke kisi ko pyaar se samjhaana aur sharminda hone se bachana bhi to sunnat hai.... Woh ek sufi buzurg thay, un ke ghar mein teen karein thi lekin yeh koi aitraaz ki baat nahi thi ke unko waqai un ki zaroorat thi. Ek chhoti car to andron sheher istemaal hoti thi aur doosri baahar sheher, albata teesri pahari ilaqon ke liye thi ke jahan unke mureedon ki achi khasi tadad mojood thi. Ek din unhone akhbaar mein Honda ke naye model ka ishtihar dekhaate hue bete se kaha ke yeh car bech karwa do, ab hamari car ka model purana ho gaya hai. Bete ne kaha, abba ji hamari zaroorat to poori ho rahi hai. Sufi sahib ne kaha beta kya tum jaante nahi ke acha 'ghora' rakhna sunnat hai. Aur yeh sun kar mein yeh sochta hi raha gaya ke israaf aur numayish se bachna bhi to sunnat hai... Woh ek baray gharane ka aiklota chashm o charaagh thay. Un ke haan chaar kanal ka bungalow, maan baap ki alag alag gaadi aur us ke munh mein 'sone ka chamach' tha. Baap ne tablighi Jama'at se mutasir ho kar ek madrse mein daakhil karwa diya jahan se woh mufti ban kar nikla. Iss ki barkat se ghar ka mahol hi badal gaya. Baap ka qeemti libaas takhnon se oopar ho gaya aur maan ki walayti odhni chehre ke oopar. Aur woh sab baat baat mein Alhamdulillah, Masha Allah aur Subhan Allah kehne lagay. Ek din mufti sahib ne walid se kaha, baba jaan ghar ka naqsha kuch purana ho gaya hai, naya na banwa lein. Walid ne kaha, neki aur poochh poochh. Ghar ke liye ek European Architect ki khidmaten hasil ki gayin aur tameer ka theeka ek American firm ko diya gaya. Tamam European aur American mahireen ki tawazo hamisha rooh afza se ki jati kyunke Pepsi aur doosri soft drinks yahudi ki masnuaat thi aur unka boycott ain ghairat imani ka talab tha. Intiqaal.Decoration ka samaan France se daramad kiya gaya aur kitchen aur bath ka samaan Italy se. Imported samaan aur ghair mulki mahireen ki madad se jab ghar ek saal ki qaleel muddat mein paaon takmeel ko pohanchato yeh sab iss mein shift hone ko pahunchay. Daakhil hone lage to Mufti sahib ne kaha, ghar mein daakhil hotay hue yeh dua parhna sunnat hai. Aur mein yeh sun kar sochta hi raha gaya keh hujra Ayesha (RA) ki peyrawi mein sada taameer bhi to sunnat hai... yeh to mujhe kisi ne baad mein bataaya keh jitni raqam iss banglay par lagi iss se tou sikkron be gharoun ko chhat munsar aa sakti thi. Aur yeh sun kar mein ek bar phir sochta hi raha gaya keh kya sunnat sirf daadhi, takhno se upar shalwar, haath se khaana, baith kar paani peenay mein hoti hai ya zindagi ke baqi shobon aur rawayon mein bhi hoti hai. Yeh sochata tha ke ghaib se nida aayi, pagle tere Aaqa ki sunnatain tou har ghari, har saa'at, har zamaan, har makaan, har amal, har soch, har rawayye aur har shobe ke liye hain magar tum ne apni sahulat ke liye sirf "meethi meethi" sunnatain yaad rakhi hui hain aur baqi sab bhala rakhi hain. Yaad rakho tumhare Aaqa qayamat mein sirf usay yaad rakhein ge jo un ki har sunnat ko yaad rakhe ga aur jo un ki aksar sunnatain bhala rakhe ga aur sirf "meethi meethi" sunnatain yaad rakhe ga to yeh dar hai ke kahin Aaqa bhi qayamat mein usay bhala na dein aur woh jise Aaqa bhala dein to phir koi... jo usay yaad rakhe?